गुप्त रोगों के शर्तिया इलाज वाले दावों से भरे शहर में
सबसे ज़्यादा रखा गया है गुप्त
मन के ज़ाहिर रोगों को
आख़िर तन चाहिए सबको
मन किसे चाहिए?
मन में सुबकती रहती है एक लड़की
मुट्ठी में रोके लाल रंग की उफनती नदी
और पीठ पर लादे नीला पथरीला पहाड़
वहीं पर भटकता रहता है कोई लड़का
सिर पर रखे एक धुँधली धूसर पृथ्वी
और तलवों तले लिए धुएँ का काला आसमान
शहर में भागते हुए लोग रौंदते हैं सब कुछ
किरकिराता है मन पैरों के नीचे पड़े सूखे पत्ते-सा
पड़ी मिलती है लड़की की लाश किसी दिन झाड़ी में
लड़का मिलता है झूलता हुआ निर्जीव किसी पंखे पर
नहीं मिलता है तो बस ज़िक्र
किसी दीवार पर मन की परेशानी
या उसके इलाज का।
gupt rogon ke shartya ilaaj vale davon se bhare shahr men
sabse zyada rakha gaya hai gupt
man ke zahir rogon ko
akhir tan chahiye sabko
man kise chahiye?
man mein subakti rahti hai ek laDki
muththi mein roke laal rang ki uphanti nadi
aur peeth par lade nila pathrila pahaD
vahin par bhatakta rahta hai koi laDka
sir par rakhe ek dhundhli dhusar prithvi
aur talvon tale liye dhune ka kala asman
shahr mein bhagte hue log raundte hain sabkuchh
kirakirata hai man pairon ke niche paDe sukhe patte sa
paDi milti hai laDki ki laash kisi din jhaDi men
laDka milta hai jhulta hua nirjiv kisi pankhe par
nahin milta hai to bus zikr
kisi divar par man ki pareshani ya uske ilaaj ka.

स्रोत :
रचनाकार : आलोक कुमार मिश्रा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.