एक हूक उठती है
जब नहीं निकलती कविता
बहुत मंथन के बाद भी
कि जैसे
शब्दों ने कर दी हो बगावत मेरे खिलाफ़
भावनाएँ रूठ गईं हों मुझसे
उपमयों का हो गया हो झगड़ा उपमानों से
असहाय-सा अनुभव करती
उस बच्चे की तरह
बैठा हुआ जो
गोलाबारी के बीच
यह सोचता
कौन चला रहा गोली हम पर?
क्या हो रही है बगावत यह?
क्यों रूठे हुए हैं लोग चारों ओर?
क्यों हो रहा झगड़ा सब लोगों में?
और नहीं गा पाता वह अपने
सपनों के गीत
लाख़ कोशिशों के बाद भी
बस उठती है हूक
दोनों के दिलों में।
ek hook uthti hai
jab nahin nikalti kavita
bahut manthan ke baad bhi
ki jaise
shabdon ne kar di ho bagavat mere khilaf
bhavnayen rooth gain hon mujhse
upamyon ka ho gaya ho jhagDa upmanon se
ashay sa anubhav karti
us bachche ki tarah
baitha hua jo
golabari ke beech
ye sochta
kaun chala raha goli hum par?
kya ho rahi hai bagavat yah?
kyon ruthe hue hain log charon or?
kyon ho raha jhagDa sab logon men?
aur nahin ga pata wo apne
sapnon ke geet
laakh koshishon ke baad bhi
bas uthti hai hook
donon ke dilon mein.
ek hook uthti hai
jab nahin nikalti kavita
bahut manthan ke baad bhi
ki jaise
shabdon ne kar di ho bagavat mere khilaf
bhavnayen rooth gain hon mujhse
upamyon ka ho gaya ho jhagDa upmanon se
ashay sa anubhav karti
us bachche ki tarah
baitha hua jo
golabari ke beech
ye sochta
kaun chala raha goli hum par?
kya ho rahi hai bagavat yah?
kyon ruthe hue hain log charon or?
kyon ho raha jhagDa sab logon men?
aur nahin ga pata wo apne
sapnon ke geet
laakh koshishon ke baad bhi
bas uthti hai hook
donon ke dilon mein.
स्रोत :
रचनाकार : तृषान्निता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.