यह वसंत है
यह वसंत है और मैं जला रहा हूँ
तुम्हारी चिट्ठियाँ
कौंधती हैं सुर्ख़ आँखें
पढ़ती हुईं
सुलगते हुए फ़िक़रे
उड़ कर गिरते हैं स्याह पुर्ज़े
जैसे पत्तियाँ झरती हैं नीम से
झर-झर-झर
झर रही हैं पत्तियाँ बेआवाज़
आग उनका अंत है
धुआँ उनका अंजाम
जल रही हैं चिट्ठियाँ
जल रहे हैं वादे
बेगिनती शोलों में लहकते हुए अक्षर
एक दुनिया ख़त्म हो रही है
आग की लपटों में
यह वसंत है
यह वसंत है और मैं जला रहा हूँ
अपने दिमाग़ का एक हिस्सा
जिसमें दबे-पाँव दाख़िल होता था प्यार
और छोड़ जाता था
ख़ून-सने निशान
अपनी उपस्थिति के
हमारी देहों पर,
हमारी नसों से बुने गए पर्दे पर
यह वसंत है
ख़त्म हो रही है एहसासों की एक शृंखला
फूट पड़ती है नफ़रत
पलाश के सुर्ख़ ज़ख़्मों की शक्ल में
आग के सुर्ख़ शोलों की शक्ल में
कब और कहाँ शुरू हुआ था यह सिलसिला
वार दर वार
अलग हो गए थे हमारे रास्ते हमारे गंतव्य
राग बदलता चला गया था विराग में
सोचना बेकार है
सारा हिसाब बराबर हो चुका है
ग़ैर-ज़रूरी है अब
अपमानों और चोटों और दुखों की फ़ेहरिस्त।
ye wasant hai
ye wasant hai aur main jala raha hoon
tumhari chitthiyan
kaundhti hain surkh ankhen
paDhti huin
sulagte hue fiqre
uD kar girte hain syah purze
jaise pattiyan jharti hain neem se
jhar jhar jhar
jhar rahi hain pattiyan beawaz
ag unka ant hai
dhuan unka anjam
jal rahi hain chitthiyan
jal rahe hain wade
beginti sholon mein lahakte hue akshar
ek duniya khatm ho rahi hai
ag ki lapton mein
ye wasant hai
ye wasant hai aur main jala raha hoon
apne dimagh ka ek hissa
jismen dabe panw dakhil hota tha pyar
aur chhoD jata tha
khoon sane nishan
apni upasthiti ke
hamari dehon par,
hamari nason se bune gaye parde par
ye wasant hai
khatm ho rahi hai ehsason ki ek shrinkhla
phoot paDti hai nafar
palash ke surkh zakhmon ki shakl mein
ag ke surkh sholon ki shakl mein
kab aur kahan shuru hua tha ye silsila
war dar war
alag ho gaye the hamare raste hamare gantawya
rag badalta chala gaya tha wirag mein
sochna bekar hai
sara hisab barabar ho chuka hai
ghair zaruri hai ab
apmanon aur choton aur dukhon ki fehrist
ye wasant hai
ye wasant hai aur main jala raha hoon
tumhari chitthiyan
kaundhti hain surkh ankhen
paDhti huin
sulagte hue fiqre
uD kar girte hain syah purze
jaise pattiyan jharti hain neem se
jhar jhar jhar
jhar rahi hain pattiyan beawaz
ag unka ant hai
dhuan unka anjam
jal rahi hain chitthiyan
jal rahe hain wade
beginti sholon mein lahakte hue akshar
ek duniya khatm ho rahi hai
ag ki lapton mein
ye wasant hai
ye wasant hai aur main jala raha hoon
apne dimagh ka ek hissa
jismen dabe panw dakhil hota tha pyar
aur chhoD jata tha
khoon sane nishan
apni upasthiti ke
hamari dehon par,
hamari nason se bune gaye parde par
ye wasant hai
khatm ho rahi hai ehsason ki ek shrinkhla
phoot paDti hai nafar
palash ke surkh zakhmon ki shakl mein
ag ke surkh sholon ki shakl mein
kab aur kahan shuru hua tha ye silsila
war dar war
alag ho gaye the hamare raste hamare gantawya
rag badalta chala gaya tha wirag mein
sochna bekar hai
sara hisab barabar ho chuka hai
ghair zaruri hai ab
apmanon aur choton aur dukhon ki fehrist
स्रोत :
पुस्तक : कुल जमा-2 (पृष्ठ 52)
रचनाकार : नीलाभ
प्रकाशन : शब्द प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.