हिचकी आत्मा के किस गहरे कुएँ से आती है
जीवन-जल उलीचती हुई
याद के आईने को तर-ब-तर करती
धोती चमकाती हुई
आँजती अपने-अपने आत्मीय आकार
कहीं से आते हुए
कहीं ले जाते हुए
हिचकी कहाँ से आती है
क्यों आती है
और किसके लिए आती है
चिट्ठी जानती है यह सब
चिट्ठी जानती है
हर हिचकी का अता-पता
नाम वल्दियत मुक़ाम पोस्ट सहित
लेकिन चिट्ठी से पूछो
साफ़ मुकर जाएगी कुछ नहीं बताएगी
तुम खीझोगे झल्लाओगे
चिट्ठी की इस हिमाक़त पर
लेकिन सच मानिए हिचकी की हिफ़ाज़त
चिट्ठी के इस राज़ छुपाने में है
हिचकी के आने में है
hichki aatma ke kis gahre kuen se aati hai
jiwan jal ulichti hui
yaad ke aine ko tar ba tar karti
dhoti chamkati hui
anjati apne apne atmiy akar
kahin se aate hue
kahin le jate hue
hichki kahan se aati hai
kyon aati hai
aur kiske liye aati hai
chitthi janti hai ye sab
chitthi janti hai
har hichki ka ata pata
nam waldiyat muqam post sahit
lekin chitthi se puchho
saf mukar jayegi kuch nahin batayegi
tum khijhoge jhallaoge
chitthi ki is himaqat par
lekin sach maniye hichki ki hifazat
chitthi ke is raaz chhupane mein hai
hichki ke aane mein hai
hichki aatma ke kis gahre kuen se aati hai
jiwan jal ulichti hui
yaad ke aine ko tar ba tar karti
dhoti chamkati hui
anjati apne apne atmiy akar
kahin se aate hue
kahin le jate hue
hichki kahan se aati hai
kyon aati hai
aur kiske liye aati hai
chitthi janti hai ye sab
chitthi janti hai
har hichki ka ata pata
nam waldiyat muqam post sahit
lekin chitthi se puchho
saf mukar jayegi kuch nahin batayegi
tum khijhoge jhallaoge
chitthi ki is himaqat par
lekin sach maniye hichki ki hifazat
chitthi ke is raaz chhupane mein hai
hichki ke aane mein hai
स्रोत :
रचनाकार : सवाई सिंह शेखावत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.