मैंने एक दिन
अपना हँसना गिना
मैं उस दिन हँसा था
जब मेरे दोस्त ने
एक चटपटा मज़ाक़
किया था
एक दिन मैं फिर हँसा
जब मेरी बूढ़ी माँ ने
मुझे फिर एक भली सलाह दी
और मैंने हँस के माँ को
गले लगा लिया
माँ तब भी यही करती थी
जब मैं बहुत छोटा
और नादान था
मैं फिर हँसा इक दिन
जब मैंने बहुत दिनो बाद
शीशे में एक विदूषक देखा
हम गले मिले और ख़ूब हँसे
मैं मज़बूर हुआ
फिर हँसने पर
जब मेरी बेटी ने बताया
मैं कितना अप्रासंगिक
हो चुका था
मुझे वो सब भी नहीं आता
जो छोटे बच्चों को आता है
और आख़िर
मैं साहसकर हँसा
अपने डर, लाचारी, नादानी,
अहम, घृणा, हिंसा, लोलुप्ता
सब पर हँसा
वो अंतिम उपहास था
फिर कुछ ना बचा
हँसने और हँसाने को।
mainne ek din
apna hansna gina
main us din hansa tha
jab mere dost ne
ek chatapta mazaq
kiya tha
ek din main phir hansa
jab meri buDhi maan ne
mujhe phir ek bhali salah di
aur mainne hans ke maan ko
gale laga liya
maan tab bhi yahi karti thi
jab main bahut chhota
aur nadan tha
main phir hansa ik din
jab mainne bahut dino baad
shishe mein ek vidushak dekha
hum gale mile aur khoob hanse
main mazbur hua
phir hansne par
jab meri beti ne bataya
main kitna aprasangik
ho chuka tha
mujhe wo sab bhi nahin aata
jo chhote bachchon ko aata hai
aur akhir
main sahaskar hansa
apne Dar, lachari, nadani,
aham, ghrina, hinsa, lolupta
sab par hansa
wo antim uphaas tha
phir kuch na bacha
hansne aur hansane ko.
mainne ek din
apna hansna gina
main us din hansa tha
jab mere dost ne
ek chatapta mazaq
kiya tha
ek din main phir hansa
jab meri buDhi maan ne
mujhe phir ek bhali salah di
aur mainne hans ke maan ko
gale laga liya
maan tab bhi yahi karti thi
jab main bahut chhota
aur nadan tha
main phir hansa ik din
jab mainne bahut dino baad
shishe mein ek vidushak dekha
hum gale mile aur khoob hanse
main mazbur hua
phir hansne par
jab meri beti ne bataya
main kitna aprasangik
ho chuka tha
mujhe wo sab bhi nahin aata
jo chhote bachchon ko aata hai
aur akhir
main sahaskar hansa
apne Dar, lachari, nadani,
aham, ghrina, hinsa, lolupta
sab par hansa
wo antim uphaas tha
phir kuch na bacha
hansne aur hansane ko.
स्रोत :
रचनाकार : तजेंद्र सिंह लूथरा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.