वह कौन था
आया था अकेले
या पूरे टीले के साथ
नोच लिए थे जिनके हाथों ने
स्वप्नों में उग रहे फूल
रात हो गई तब और गाढ़ी अपने अँधेरे में
बहती नदी हो गई बज्जर जिनके शब्दों से
पल में तितलियाँ रंगीन
हो गईं विलुप्त
जिनकी क्रूर ध्वनि कानों में नहीं
चुभ गई सीधे छाती में
असंख्य गिद्ध लगे मँडराने सपनों के आकाश में
शिथिल पड़ गई देह
घुट गई आवाज़ भीतर
चेतना लौटने में लगा समय कुछ
तब तक चेतना शून्य हो चुकी थीं वे
जागीं तो विकल्पों के ढेरों सिरे सामने थे
पर सबकी डोर थामे तुम
अधिकांश ने भी थाम लिए वही सिरे
पर कुछ ही लड़कियों ने
तज कर लाज, दी डोर
उनकी आँखों में सदियों की भूख थी
आत्मा में शताब्दियों की प्यास
विद्रोह के लाभ से दनक रहा था
जिनका चेहरा
निकल पड़ी थीं वे
धरती से लेकर आसमान
अपने लिए और जगह छेकने
अपनी पुरखिनों की छोड़ी गई जगह पर करने दावेदारी
हँसती-बिहँसती प्रफुल्लित
वे धरती की देह पर बहती
नदियों के जल से करतीं स्नान
फूलों को अपनी देह पर मलतीं
और धूप को तलवों पर ऐसे कि
रगड़ की ऊष्मा से सदियों से बंद शिराओं में
रक्तसंचार हो उठे गतिमान
तुमने इन हठी लड़कियों को
प्रेम की मनुहार संग वापस बुलाया
पर उन्हें अब
केवल प्रेम स्वीकार नहीं था
चाहिए थी चेतना और ख़ुद का वजूद
कि फिर कोई उनके सपनों में सेंध मारने की चेष्टा न कर सके
वे सप्तपदी के फेरों पर प्रेम-कविताओं का
ज़ोर-ज़ोर से करें पाठ
और प्रेम की धुन बज उठे
धरती के छोर-अछोर की सीमा को लाँघ
और स्वप्नों में फिर खिलने लगें स्निग्ध फूल!
wo kaun tha
aaya tha akele
ya pure tile ke saath
noch liye the jinke hathon ne
svapnon mein ug rahe phool
raat ho gai tab aur gaDhi apne andhere mein
bahti nadi ho gai bajjar jinke shabdon se
pal mein titliyan rangin
hi gai vilupt
jinki kroor dhvani kanon mein nahin
chubh gai sidhe chhati mein
asankhy giddh lage manDrane sapnon ke akash men
shithil paD gai deh
ghut gai avaz bhitar
chetna lautne mein laga samay kuch
tab tak chetna shunya ho chuki theen ve
jagin to vikalpon ke Dheron sire samne the
par sabki Dor thame tum
adhikansh ne bhi thaam liye vahi sire
par kuch hi laDkiyon ne
taj kar laaj, di Dor
unki ankhon mein sadiyon ki bhookh thi
aatma mein shatabdiyon ki pyaas
vidroh ke laabh se danak raha tha jinka chehra
nikal paDi theen ve
dharti se lekar asman
apne liye aur jagah chhekne
apni purakhinon ki chhoDi gai jagah par karne davedari
hansti bihansati praphullit
ve dharti ki deh par bahti nadiyon ke jal se kartin snaan
phulon ko apni deh par maltin
aur dhoop ko talvon par aise ki
ragaD ki ushma se sadiyon se band shiraon mein raktsanchar ho uthe gatiman
tumne in hathi laDkiyon ko
prem ki manuhar sang vapas bulaya
par unhen ab
keval prem svikar nahin tha
chahiye thi chetna aur khu ka vajud
ki phir koi unke sapnon mein sendh marne ki cheshta na kar sake
wo saptapdi ke pheron par prem kavitaon ka zor zor se karen paath
aur prem ki dhun baj uthe dharti ke chhor achhor ki sima ko laangh
aur svapnon mein phir khilne lagen snigdh phool!
wo kaun tha
aaya tha akele
ya pure tile ke saath
noch liye the jinke hathon ne
svapnon mein ug rahe phool
raat ho gai tab aur gaDhi apne andhere mein
bahti nadi ho gai bajjar jinke shabdon se
pal mein titliyan rangin
hi gai vilupt
jinki kroor dhvani kanon mein nahin
chubh gai sidhe chhati mein
asankhy giddh lage manDrane sapnon ke akash men
shithil paD gai deh
ghut gai avaz bhitar
chetna lautne mein laga samay kuch
tab tak chetna shunya ho chuki theen ve
jagin to vikalpon ke Dheron sire samne the
par sabki Dor thame tum
adhikansh ne bhi thaam liye vahi sire
par kuch hi laDkiyon ne
taj kar laaj, di Dor
unki ankhon mein sadiyon ki bhookh thi
aatma mein shatabdiyon ki pyaas
vidroh ke laabh se danak raha tha jinka chehra
nikal paDi theen ve
dharti se lekar asman
apne liye aur jagah chhekne
apni purakhinon ki chhoDi gai jagah par karne davedari
hansti bihansati praphullit
ve dharti ki deh par bahti nadiyon ke jal se kartin snaan
phulon ko apni deh par maltin
aur dhoop ko talvon par aise ki
ragaD ki ushma se sadiyon se band shiraon mein raktsanchar ho uthe gatiman
tumne in hathi laDkiyon ko
prem ki manuhar sang vapas bulaya
par unhen ab
keval prem svikar nahin tha
chahiye thi chetna aur khu ka vajud
ki phir koi unke sapnon mein sendh marne ki cheshta na kar sake
wo saptapdi ke pheron par prem kavitaon ka zor zor se karen paath
aur prem ki dhun baj uthe dharti ke chhor achhor ki sima ko laangh
aur svapnon mein phir khilne lagen snigdh phool!
स्रोत :
रचनाकार : शालिनी सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.