स्त्रियों को ज़्यादा-ज़्यादा मनुष्य बनाए रखने के लिए,
पाँचो इंद्रियों पर नियंत्रण होश संभालते ही रोज़ जीवन घुट्टी की तरह पिलाया जाता।
बरसों बरस से पिलाई जाती जीवन घुट्टी लड़कियों के डी एन ए में ऐसा समाया कि
न सिखाओ तब भी वह
इंद्रियाँ तो इंद्रियाँ दिल और देह को भी सिकोड़ कर जीना सीख जाती हैं
कम से कम जगह घेरकर।
भीड़ में चलती स्त्री ऐसे कलात्मकता से देह को बचाते निकालना जानती है
बिना किसी को छुए-छाए।
देह के आयतन की मितव्ययिता उसकी कमतरी नही कुशलता है।
कीमियागरी की कुशलता उनको तब भारी पड़ जाती है
जब एक लड़की
अपने हक़ हकूक की बात पर
घर-समाज में फैल जाती है।
striyon ko zyada zyada manushya banaye rakhne ke liye,
pancho indriyon par niyantran hosh sambhalte hi roz jivan ghutti ki tarah pilaya jata.
barson baras se pilai jati jivan ghutti laDakiyon ke Di en e mein aisa samaya ki
na sikhao tab bhi wo
indriyan to indriyan dil aur deh ko bhi sikoD kar jina seekh jati hain,
kam se kam jagah gherkar.
bheeD mein chalti stri aise kalatmakta se deh ko bachate nikalna janti hai bina kisi ko chhue chhaye.
deh ke ayatan ki mitavyayita uski kamtari nahi kushalta hai.
kimiyagari ki kushalta unko tab bhari paD jati hai
jab ek laDki
apne haq hakuk ki baat par
ghar samaj mein phail jati hai.

स्रोत :
रचनाकार : नीलम शंकर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.