तमाम अभ्यास
होमवर्क के बाद भी
मैं रुक ही जाता हूँ
किसी न किसी शब्द पर
कभी करता हूँ गला दुरुस्त
भींचता हूँ मुट्ठियाँ
मारता हूँ माथे पर हाथ
फिर भी
मेरे गले में फँस ही जाते हैं
कुछ शब्द
जो छोड़ना नहीं चाहते
मेरी ज़ुबान
ठीक पहचाना आपने
हकलाता हूँ मैं
कितने ऐसे सवाल
जो मैं पूछना चाहता था
नहीं पूछ पाया
ऐसी नौकरियों के लिए
नहीं कर पाया आवेदन
जिनके लिए
ज़रूरत थी
कड़क, रोबदार आवाज़ में
बिना रुके बोलने की।
बचपन से ही
गाँव के लोग बोलते थे
‘थथ्था’ हूँ मैं
समाज के लिए
कितना शापित होता है ‘थथ्था’
मुझे यह पता तब चला
जब मेरे बेटे ने
शुरू किया ही था बोलना
और मेरे पिता
यह जानने के लिए बेचैन थे
कहीं उनका पोता भी तो
उनके बेटे की तरह नहीं हकलाता
स्कूल में
कॉलेज में
चौपाल पर
ऑफ़िस में
इस जगह
उस जगह
कोई सामने
कोई पीठ पीछे
कितनों ने हँसा है मुझ पर
कितने ही अभिनेताओं, पटकथाकारों, निर्माताओं ने
हँसने हँसाने के लिए
बनाया मेरे हकलाने को
अपना माध्यम।
किस-किस ने उड़ाया मेरा मज़ाक़
कौन-कौन हँसा मुझ पर
किसने-किसने पिघलाया मेरा आत्मविश्वास
मुझे नहीं याद
मैंने याद भी नहीं रखा
सिवाय इसके
इस दुनिया में हर कोई हकलाता है
कोई मेरी तरह
न चाहते हुए भी अपनी ज़ुबान से
तो काई
आत्मसमर्पण कर हकलाता है
अपने घुटनों से, रीढ़ से, दिमाग़ से।
tamam abhyas
homework ke baad bhi
main
ruk hi jata hoon
kisi na kisi shabd par
kabhi karta hoon gala durust
bhinchta hoon mutthiyan
marta hoon mathe par haath
phir bhi
mere gale mein phans hi jate hain
kuch shabd
jo chhoDna nahin chahte
meri zuban
theek pahchana aapne
haklata hoon main
kitne aise saval
jo main puchhna chahta tha
nahin poochh paya
aisi naukariyon ke liye
nahin kar paya avedan
jinke liye
zarurat thi
kaDak, raubdar avaz men
bina ruke bolne ki.
bachpan se hi
gaanv ke log bolte the
‘thaththa’ hoon main
samaj ke liye
kitna shrapit hota hai ‘thaththa’
mujhe ye pata tab chala
jab mere bete ne
shuru kiya hi tha bolna
aur mere pita
ye janne ke liye bechain the
kahin unka pota bhi to
unke bete ki tarah nahin haklata
school men
college men
chaupal par
office men
is jagah
us jagah
koi samne
koi peeth pichhe
kitnon ne hansa hai mujh par
kitne hi abhinetaon, patakthakaron, nirmataon ne
hansne hansane ke liye
banaya mere haklane ko
apna madhyam.
kis kis ne uDaya mera mazak
kaun kaun hansa mujh par
kisne kisne pighlaya mera atmavishvas
mujhe nahin yaad
mainne yaad bhi nahin rakha
sivaye iske
is duniya mein har koi haklata hai
koi meri tarah
na chahte hue bhi apni zuban se
to kai
atmasmarpan kar haklata hai
apne ghutnon se, reeDh se, dimagh se.
tamam abhyas
homework ke baad bhi
main
ruk hi jata hoon
kisi na kisi shabd par
kabhi karta hoon gala durust
bhinchta hoon mutthiyan
marta hoon mathe par haath
phir bhi
mere gale mein phans hi jate hain
kuch shabd
jo chhoDna nahin chahte
meri zuban
theek pahchana aapne
haklata hoon main
kitne aise saval
jo main puchhna chahta tha
nahin poochh paya
aisi naukariyon ke liye
nahin kar paya avedan
jinke liye
zarurat thi
kaDak, raubdar avaz men
bina ruke bolne ki.
bachpan se hi
gaanv ke log bolte the
‘thaththa’ hoon main
samaj ke liye
kitna shrapit hota hai ‘thaththa’
mujhe ye pata tab chala
jab mere bete ne
shuru kiya hi tha bolna
aur mere pita
ye janne ke liye bechain the
kahin unka pota bhi to
unke bete ki tarah nahin haklata
school men
college men
chaupal par
office men
is jagah
us jagah
koi samne
koi peeth pichhe
kitnon ne hansa hai mujh par
kitne hi abhinetaon, patakthakaron, nirmataon ne
hansne hansane ke liye
banaya mere haklane ko
apna madhyam.
kis kis ne uDaya mera mazak
kaun kaun hansa mujh par
kisne kisne pighlaya mera atmavishvas
mujhe nahin yaad
mainne yaad bhi nahin rakha
sivaye iske
is duniya mein har koi haklata hai
koi meri tarah
na chahte hue bhi apni zuban se
to kai
atmasmarpan kar haklata hai
apne ghutnon se, reeDh se, dimagh se.
स्रोत :
रचनाकार : कुमार कृष्ण शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.