गोपीनाथ अपने गाँव से गठरी लेकर चला था
अब शहर में सड़क पार करना है
रास्ते दिखते हैं कई
कौन-सा जाता है
हरिद्वार या गया या प्रयाग
शहर में असमंजस है गोपीनाथ
सिर पर रखी गठरी तो और भी ग़ज़ब है
ठिठक कर लोग खड़े हैं
गठरी देखने के लिए
विदेशी गठरी में लगी गाँठों पर हतप्रभ हैं
गाँठ में गाँठ में गाँठ
कोई बम तो नहीं है
कहाँ के हो, कहाँ जाना है
थाना दूर नहीं है
किस-किसका भय
बँध गया है गठरी के साथ
कपड़े बाँधकर लाया था गोपीनाथ
गंगा स्नान के लिए
यह यात्रा और कहाँ यमुना
अभी तो सड़क के उस पार जाना है गोपीनाथ को
गठरी वह अकारण ही ले आया था
संदेह और तमाशा बनने के लिए।
gopinath apne ganw se gathri lekar chala tha
ab shahr mein saDak par karna hai
raste dikhte hain kai
kaun sa jata hai
haridwar ya gaya ya prayag
shahr mein asmanjas hai gopinath
sir par rakhi gathri to aur bhi ghazab hai
thithak kar log khaDe hain
gathri dekhne ke liye
wideshi gathri mein lagi ganthon par hataprabh hain
ganth mein ganth mein ganth
koi bam to nahin hai
kahan ke ho, kahan jana hai
thana door nahin hai
kis kiska bhay
bandh gaya hai gathri ke sath
kapDe bandhakar laya tha gopinath
ganga snan ke liye
ye yatra aur kahan yamuna
abhi to saDak ke us par jana hai gopinath ko
gathri wo akaran hi le aaya tha
sandeh aur tamasha banne ke liye
gopinath apne ganw se gathri lekar chala tha
ab shahr mein saDak par karna hai
raste dikhte hain kai
kaun sa jata hai
haridwar ya gaya ya prayag
shahr mein asmanjas hai gopinath
sir par rakhi gathri to aur bhi ghazab hai
thithak kar log khaDe hain
gathri dekhne ke liye
wideshi gathri mein lagi ganthon par hataprabh hain
ganth mein ganth mein ganth
koi bam to nahin hai
kahan ke ho, kahan jana hai
thana door nahin hai
kis kiska bhay
bandh gaya hai gathri ke sath
kapDe bandhakar laya tha gopinath
ganga snan ke liye
ye yatra aur kahan yamuna
abhi to saDak ke us par jana hai gopinath ko
gathri wo akaran hi le aaya tha
sandeh aur tamasha banne ke liye
स्रोत :
रचनाकार : नंद चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.