बचपन में मुझे
स्कूल के उस नीली आँखों वाले
भूगोल मास्टर से
बहुत भय लगता था
जो एक ग्लोब दिखाता और कहता
यही पूरी दुनिया है
और पूरी शिद्दत के साथ
देखने पर भी
मुझे उस पूरी दुनिया में से अपना गाँव, अपना घर
कहीं नहीं मिलता था
मैं डर जाता था।
मैं सोचता
यह कैसी पूरी दुनिया है
जिसमें मेरा घर नहीं मिलता
और मुझे नीली आँखों वाला मास्टर
एक जादूगर लगता था।
भयभीत-सा घर जाकर
जब माँ को ग्लोब से अपना घर
ग़ायब होने की बात कहता
तो वह बाँहों में भर लेती मुझे
और कहती
पगले हो तुम
घर भी कहीं ग्लोब पर होते हैं
गाँव में हुआ करते हैं घर।
और तब मैं
भूगोल, भूगोल मास्टर और ग्लोब
सब भूल जाता।
अब माँ नहीं रही
लेकिन आजकल मुझे
बचपन के उस डर ने
फिर से घेर लिया है
हर जगह एक ग्लोब
मेरा पीछा करता रहता है।
सुबह-सवेरे सैर के लिए
निकलता हूँ
तो वही ग्लोब
फ़ुटबॉल-सा घूमता
आ टकराता है मेरे पाँवों पर
और मेरी गति उखड़ जाती है।
फिर दिन-भर
घूमते-टहलते
दफ़्तर में सीट पर बैठे
सहकर्मियों संग गपशप करते
बाज़ार में ख़रीदारी करते
मेरे आगे पीछे घूमता है ग्लोब
और साथ ही
भूगोल मास्टर का चेहरा भी
और मुझे हर चीज़ का आकार
गोल हो गया जान पड़ता है।
शाम के समय
घर पहुँचकर
आराम करने के लिए
चारपाई पर बैठने लगता हूँ
तो मुझे वह
फुटबॉल-सा उभरा
नज़र आता है
मैं डरने लगता हूँ
और गिर जाने के भय से
चारपाई से दूर हो जाता हूँ।
पत्नी प्रेमपूर्वक, गर्मागर्म खाना
थाली में परोसकर
ला टिकाती है मेरे आगे
फूली हुई रोटियाँ
ग्लोब-सी जान पड़ती हैं
निवाला बनाने और तोड़ने के लिए
कोई सिरा हाथ नहीं लगता
और मेरी भूख मर जाती है।
मैं समझ नहीं पाता
कि मेरे घर में
यह ग्लोब क्या कर रहा है?
ग्लोब, जिसके पीछे
नीली आँखों वाले
जादूगर भूगोल मास्टर का चेहरा
चमकने लगता है।
मैं डरता हूँ
यदि मेरे घर को
ग्लोब ने घेर लिया
तो यह कहीं
सचमुच लुप्त ही न हो जाए।
bachpan mein mujhe
school ke us nili ankhon wale
bhugol master se
bahut bhay lagta tha
jo ek globe dikhata aur kahta
yahi puri duniya hai
aur puri shiddat ke sath
dekhne par bhi
mujhe us puri duniya mein se apna ganw, apna ghar
kahin nahin milta tha
main Dar jata tha
main sochta
ye kaisi puri duniya hai
jismen mera ghar nahin milta
aur mujhe nili ankhon wala master
ek jadugar lagta tha
bhaybhit sa ghar jakar
jab man ko globe se apna ghar
ghayab hone ki baat kahta
to wo banhon mein bhar leti mujhe
aur kahti
pagle ho tum ghar bhi kahin globe par hote hain
ganw mein hua karte hain ghar
aur tab main
bhugol, bhugol master aur globe
sab bhool jata
ab man nahin rahi
lekin ajkal mujhe
phir se gher liya hai
mera pichha karta rahta hai
subah sawere sair ke liye
nikalta hoon
to wahi globe
futbaul sa ghumta
a takrata hai mere panwon par
aur meri gati ukhaD jati hai
phir din bhar
ghumte tahalte
daftar mein seat par baithe
sahkarmiyon sang gapshap karte
bazar mein kharidari karte
mere aage pichhe ghumta hai globe
aur sath hi
bhugol master ka chehra bhi
aur mujhe har cheez ka akar
gol ho gaya jaan paDta hai
sham ke samay
ghar pahunchakar
aram karne ke liye
charpai par baithne lagta hoon
to mujhe wo
phutbaul sa ubhra
nazar aata hai
main Darne lagta hoon
aur gir jane ke bhay se
charpai se door ho jata hoon
patni prempurwak, garmagarm khana
thali mein paroskar
la tikati hai mere aage
phuli hui rotiyan
globe si jaan paDti hain
niwala banane aur toDne ke liye
koi sira hath nahin lagta
aur meri bhookh mari jati hai
main samajh nahin pata
ki mere ghar mein
ye globe kya kar raha hai?
globe, jiske pichhe
nili ankh wale
jadugar bhugol master ka chehra
chamakne lagta hai
main darta hoon
yadi mere ghar ko
globe ne gher liya
to ye kahin
sachmuch lupt hi na ho jaye
bachpan mein mujhe
school ke us nili ankhon wale
bhugol master se
bahut bhay lagta tha
jo ek globe dikhata aur kahta
yahi puri duniya hai
aur puri shiddat ke sath
dekhne par bhi
mujhe us puri duniya mein se apna ganw, apna ghar
kahin nahin milta tha
main Dar jata tha
main sochta
ye kaisi puri duniya hai
jismen mera ghar nahin milta
aur mujhe nili ankhon wala master
ek jadugar lagta tha
bhaybhit sa ghar jakar
jab man ko globe se apna ghar
ghayab hone ki baat kahta
to wo banhon mein bhar leti mujhe
aur kahti
pagle ho tum ghar bhi kahin globe par hote hain
ganw mein hua karte hain ghar
aur tab main
bhugol, bhugol master aur globe
sab bhool jata
ab man nahin rahi
lekin ajkal mujhe
phir se gher liya hai
mera pichha karta rahta hai
subah sawere sair ke liye
nikalta hoon
to wahi globe
futbaul sa ghumta
a takrata hai mere panwon par
aur meri gati ukhaD jati hai
phir din bhar
ghumte tahalte
daftar mein seat par baithe
sahkarmiyon sang gapshap karte
bazar mein kharidari karte
mere aage pichhe ghumta hai globe
aur sath hi
bhugol master ka chehra bhi
aur mujhe har cheez ka akar
gol ho gaya jaan paDta hai
sham ke samay
ghar pahunchakar
aram karne ke liye
charpai par baithne lagta hoon
to mujhe wo
phutbaul sa ubhra
nazar aata hai
main Darne lagta hoon
aur gir jane ke bhay se
charpai se door ho jata hoon
patni prempurwak, garmagarm khana
thali mein paroskar
la tikati hai mere aage
phuli hui rotiyan
globe si jaan paDti hain
niwala banane aur toDne ke liye
koi sira hath nahin lagta
aur meri bhookh mari jati hai
main samajh nahin pata
ki mere ghar mein
ye globe kya kar raha hai?
globe, jiske pichhe
nili ankh wale
jadugar bhugol master ka chehra
chamakne lagta hai
main darta hoon
yadi mere ghar ko
globe ne gher liya
to ye kahin
sachmuch lupt hi na ho jaye
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 576)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.