पी लेती हूँ अपने रक्त और मवाद के साथ
निरीह चेहरों पर चिह्नित अपराध घोषणाएँ।
सभी दंडों को क्षमा कर देती है एक लड़की
अपनी मौन स्वीकृतियों के साथ,
दरख़्तों के तनों पर शाम का घना धुआँ लिखता है
अपना नाम।
कुछ दुर्गंधों को जी लेने के बाद
पूरी शताब्दी ढोती है भ्रूण-हत्याओं के पाप।
सभी संतप्त हैं एक दूसरे के लिए
और काट देते हैं अपने गले, धड़ और हाथ।
पुराने खंडहरों में उगी दूब और चिपकी काई पर
मैं लिखती हूँ अपना नाम
केवल अपना नाम
बार-बार...
बहुत से अनजाने अपराधों का क्षमा-पत्र
एक लंबी भीड़ में परिचित
उन चेहरे के नाम
जिनके न होने पर मुझे
निर्वासित कर दिया जाता है चुपचाप
एक ज़हरीली दुनिया की गिरफ़्त से।
pi leti hoon apne rakt aur mawad ke sath
nirih chehron par chihnit apradh ghoshnayen
sabhi danDon ko kshama kar deti hai ek laDki
apni maun swikritiyon ke sath,
darakhton ke tanon par sham ka ghana dhuan likhta hai
apna nam
kuch durgandhon ko ji lene ke baad
puri shatabdi Dhoti hai bhroon hatyaon ke pap
sabhi santapt hain ek dusre ke liye
aur kat dete hain apne gale, dhaD aur hath
purane khanDahron mein ugi doob aur chipki kai par
main likhti hoon apna nam
kewal apna nam
bar bar
bahut se anjane apradhon ka kshama patr
ek lambi bheeD mein parichit
un chehre ke nam
jinke na hone par mujhe
nirwasit kar diya jata hai chupchap
ek zahrili duniya ki giraft se
pi leti hoon apne rakt aur mawad ke sath
nirih chehron par chihnit apradh ghoshnayen
sabhi danDon ko kshama kar deti hai ek laDki
apni maun swikritiyon ke sath,
darakhton ke tanon par sham ka ghana dhuan likhta hai
apna nam
kuch durgandhon ko ji lene ke baad
puri shatabdi Dhoti hai bhroon hatyaon ke pap
sabhi santapt hain ek dusre ke liye
aur kat dete hain apne gale, dhaD aur hath
purane khanDahron mein ugi doob aur chipki kai par
main likhti hoon apna nam
kewal apna nam
bar bar
bahut se anjane apradhon ka kshama patr
ek lambi bheeD mein parichit
un chehre ke nam
jinke na hone par mujhe
nirwasit kar diya jata hai chupchap
ek zahrili duniya ki giraft se
स्रोत :
पुस्तक : महाभिनिष्क्रमण (पृष्ठ 19)
रचनाकार : मोना गुलाटी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.