कुछ भी कहते रहो
किसी भी ढंग से तरतीब दो
बात तो तुम वही कहते हो जो मैं कहता हूँ
फ़र्क़ इतना है कि तुम जिस घेरे से बोलते हो
वह घेरा मेरा नहीं है और वह घेरा जिस
अतिरिक्त बात को कहने की
तुम्हें सलाह देता है
वह मैं नहीं कहता
कहाँ से शुरू हुए तुम कहाँ जाकर रुकोगे
मेरे लिए यह बताना कठिन है
क्योंकि घेरे की आँच से विचारों को तपाने की
रफ़्त जो तुम्हें पड़ गई है वह मुझे
नहीं पड़ी
पड़ जाती तो मेरा मैं हाथ से छूट जाता
ओर मैं जो मैं होता
वह घरे की आवाज़ होता
जैसे कई आवाज़ों में एक तुम हो जो शब्दों को
हुक्म मिलते ही क़वायद के लिए
खड़ा कर देते हो
जो मैं कहता हूँ या आगे भी कहूँगा
उसे काटते चले जाना ही तुम्हारी
मजबूरी है
मगर इसे तुम भी अच्छी तरह जानते हो कि
सच की लकीर कहाँ टेढ़ी हुई है
kuch bhi kahte raho
kisi bhi Dhang se tartib do
baat to tum wahi kahte ho jo main kahta hoon
farq itna hai ki tum jis ghere se bolte ho
wo ghera mera nahin hai aur wo ghera jis
atirikt baat ko kahne ki
tumhein salah deta hai
wo main nahin kahta
kahan se shuru hue tum kahan jakar rukoge
mere liye ye batana kathin hai
kyonki ghere ki anch se wicharon ko tapane ki
raft jo tumhein paD gai hai wo mujhe
nahin paDi
paD jati to mera main hath se chhoot jata
or main jo main hota
wo ghare ki awaz hota
jaise kai awazon mein ek tum ho jo shabdon ko
hukm milte hi qawayad ke liye
khaDa kar dete ho
jo main kahta hoon ya aage bhi kahunga
use katte chale jana hi tumhari
majburi hai
magar ise tum bhi achchhi tarah jante ho ki
sach ki lakir kahan teDhi hui hai
kuch bhi kahte raho
kisi bhi Dhang se tartib do
baat to tum wahi kahte ho jo main kahta hoon
farq itna hai ki tum jis ghere se bolte ho
wo ghera mera nahin hai aur wo ghera jis
atirikt baat ko kahne ki
tumhein salah deta hai
wo main nahin kahta
kahan se shuru hue tum kahan jakar rukoge
mere liye ye batana kathin hai
kyonki ghere ki anch se wicharon ko tapane ki
raft jo tumhein paD gai hai wo mujhe
nahin paDi
paD jati to mera main hath se chhoot jata
or main jo main hota
wo ghare ki awaz hota
jaise kai awazon mein ek tum ho jo shabdon ko
hukm milte hi qawayad ke liye
khaDa kar dete ho
jo main kahta hoon ya aage bhi kahunga
use katte chale jana hi tumhari
majburi hai
magar ise tum bhi achchhi tarah jante ho ki
sach ki lakir kahan teDhi hui hai
स्रोत :
पुस्तक : निषेध (पृष्ठ 89)
संपादक : जगदीश चतुर्वेदी
रचनाकार : श्याम परमार
प्रकाशन : ज्ञान भारती प्रकाशन
संस्करण : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.