घर से बनारस के लिए चलना
घर से घर तक आना था
घर से
एक और पुराने घर तक की यात्रा
जो गुज़री शताब्दियों से मेरा था
और लगातार थाप
पर थाप देता था
मेरी नींद और सपने में
कि द्वार खोलो द्वार
थप-थप-थप
थप...
शायद इसीलिए
घर से चला बनारस के लिए
तो बनारस
मेरे भीतर चल रहा था
मेरे श्वास-श्वास में रुधिर
और अस्थियों में
हज़ारों-हज़ार बरस पुरानी गैरिक स्मृतियों
की लीलानगरी बसाए
मैं यान की गति से दौड़ रहा था
और वह दौड़ता हुआ
मेरे पास आ रहा था
और पास, और पास
अक्षत रोली और हल्दी चंदन
की सुवास में लिपटा
बनारस की धरती पर पैर रखते ही
बनारस मुझे घेर लेता है
चारों ओर से भुजाएँ बढ़ाता हुआ
सदियों से बिछुड़ा कोई दोस्त जैसे
और मैं अवाक्
अचंभित
कुछ भूला-भूला-सा
जैसे बरसों बाद अपने पुराने घर आकर
कोई भरमा जाता है
रुद्ध वाणी गला रुद्ध
रुक-रुककर छूट रही थी रुलाई
किसे कहूँ कैसे कि यह बरसों बाद
घर लौटने की ख़ुशी थी।
ghar se banaras ke liye chalna
ghar se ghar tak aana tha
ghar se
ek aur purane ghar tak ki yatra
jo guzri shatabdiyon se mera tha
aur lagatar thaap
par thaap deta tha
meri neend aur sapne men
ki dvaar kholo dvaar
thap thap thap
thap. . .
shayad isiliye
ghar se chala banaras ke liye
to banaras
mere bhitar chal raha tha
mere shvaas shvaas mein rudhir
aur asthiyon mein
hazaron hazar baras purani gairik smritiyon
ki lilanagri basaye
main yaan ki gati se dauD raha tha
aur wo dauDta hua
mere paas aa raha tha
aur paas, aur paas
akshat roli aur haldi chandan
ki suvas mein lipta
banaras ki dharti par pair rakhte hi
banaras mujhe gher leta hai
charon or se bhujayen baDhata hua
sadiyon se bichhuDa koi dost jaise
aur main avak
achambhit
kuch bhula bhula sa
jaise barson baad apne purane ghar aakar
koi bharma jata hai
ruddh vani gala ruddh
ruk rukkar chhoot rahi thi rulai
kise kahun kaise ki ye barson baad
ghar lautne ki khushi thi.
ghar se banaras ke liye chalna
ghar se ghar tak aana tha
ghar se
ek aur purane ghar tak ki yatra
jo guzri shatabdiyon se mera tha
aur lagatar thaap
par thaap deta tha
meri neend aur sapne men
ki dvaar kholo dvaar
thap thap thap
thap. . .
shayad isiliye
ghar se chala banaras ke liye
to banaras
mere bhitar chal raha tha
mere shvaas shvaas mein rudhir
aur asthiyon mein
hazaron hazar baras purani gairik smritiyon
ki lilanagri basaye
main yaan ki gati se dauD raha tha
aur wo dauDta hua
mere paas aa raha tha
aur paas, aur paas
akshat roli aur haldi chandan
ki suvas mein lipta
banaras ki dharti par pair rakhte hi
banaras mujhe gher leta hai
charon or se bhujayen baDhata hua
sadiyon se bichhuDa koi dost jaise
aur main avak
achambhit
kuch bhula bhula sa
jaise barson baad apne purane ghar aakar
koi bharma jata hai
ruddh vani gala ruddh
ruk rukkar chhoot rahi thi rulai
kise kahun kaise ki ye barson baad
ghar lautne ki khushi thi.
स्रोत :
रचनाकार : प्रकाश मनु
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.