तीन दिनों के लिए गई है
इस घर की मल्लिका
और ये तीन दिन कर्फ़्यू के दिन हैं।
इन तीन दिनों में कोई न आना
उसके पीछे...
कि इन तीन दिनों में यह घर
फ़र्श पर फैले मैले-मुचड़े कपड़ों
जूठे-गंधाते बरतनों, उतरे चेहरों
और रुकी और थकी-थकी बासी हवाओं
में गुम हो चुका है।
सब कुछ है यहाँ मौजूद
पर सब पर तारी उदासी की एक सतर
जो होंठों से उतरती ही नहीं।
अलबत्ता इस सारी टूटन और उदासियों में
आर-पार गुज़रता एक ही सुख
जो टहल रहा है
किसी राहत वैन की तरह यहाँ से वहाँ...
कि तीन दिन बीतते ही वह लौटेगी
वह जो इस घर की रानी है, महारानी
और उसके एक दृष्टिपात से
यह रुका-रुका, थका घर
अपने पहियों में लगी जंग और जकड़न छुड़ाकर
फिर चल पड़ेगा अपनी सदाबहार लय-चाल में...
उदासियों की गाढ़ी सतर को तिर्यक् काटते हुए।
teen dinon ke liye gai hai
is ghar ki mallika
aur ye teen din karfyu ke din hain.
in teen dinon mein koi na aana
uske pichhe. . .
ki in teen dinon mein ye ghar
farsh par phaile maile muchDe kapDon
juthe gandhate baratnon, utre chehron
aur ruki aur thaki thaki basi havaon
mein gum ho chuka hai.
sab kuch hai yahan maujud
par sab par tari udasi ki ek satar
jo honthon se utarti hi nahin.
albatta is sari tutan aur udasiyon mein
aar paar guzarta ek hi sukh
jo tahal raha hai
kisi rahat vain ki tarah yahan se vahan. . .
ki teen din bitte hi wo lautegi
wo jo is ghar ki rani hai, maharani
aur uske ek drishtipat se
ye ruka ruka, thaka ghar
apne pahiyon mein lagi jang aur jakDan chhuDakar
phir chal paDega apni sadabahar lay chaal mein. . .
udasiyon ki gaDhi satar ko tiryak katte hue.
teen dinon ke liye gai hai
is ghar ki mallika
aur ye teen din karfyu ke din hain.
in teen dinon mein koi na aana
uske pichhe. . .
ki in teen dinon mein ye ghar
farsh par phaile maile muchDe kapDon
juthe gandhate baratnon, utre chehron
aur ruki aur thaki thaki basi havaon
mein gum ho chuka hai.
sab kuch hai yahan maujud
par sab par tari udasi ki ek satar
jo honthon se utarti hi nahin.
albatta is sari tutan aur udasiyon mein
aar paar guzarta ek hi sukh
jo tahal raha hai
kisi rahat vain ki tarah yahan se vahan. . .
ki teen din bitte hi wo lautegi
wo jo is ghar ki rani hai, maharani
aur uske ek drishtipat se
ye ruka ruka, thaka ghar
apne pahiyon mein lagi jang aur jakDan chhuDakar
phir chal paDega apni sadabahar lay chaal mein. . .
udasiyon ki gaDhi satar ko tiryak katte hue.
स्रोत :
रचनाकार : प्रकाश मनु
प्रकाशन : वनमाली कथा,अप्रैल-2024
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.