फुल्लनपुर
ग़ाज़ीपुर जनपद में है
वहाँ दिखता है
एक पुराना पुश्तैनी मकान
रेलवे-गुमटी के ठीक पास में
खुली हैं जिसकी खिड़कियाँ
जो नीली हैं,
जिसका बाहरी दरवाज़ा हो गया है
धूल-धूसरित इतना
कि उस नीले पर जैसे
हवा ने अपने हाथों
धूल की कोई मोटी परत चढ़ा दी हो
उस घर में
इन दिनों कोई नहीं रहता
मगर
हवा, धूप, बारिश का साथ
मिलता रहता है उसे
कुछ-न-कुछ
बदलता रहता है घर
घूमती हुई इस पृथ्वी पर
घूम रहा होगा कहीं इधर-उधर
इस घर में पला-बढ़ा
इकलौता बेटा
जो हो चुका वृद्ध कब का
मगर
इस घर के लिए
अब भी वह ‘बचुवा’ ही है,
हवा, धूप, बारिश का साथ
मिलता होगा उसे भी
बदल रहा होगा वह भी
कुछ-न-कुछ
जब कोई अवसर आएगा
ये दो बदले हुए लोग
गलबहियाँ करेंगे
पुराने दिनों को याद करेंगे
धुले-खिलखिलाते नीले रंग में
घर के दरवाज़े और खिड़कियाँ
दुलार कर रही होंगी
उस बचुवा के
पोते-पोतियों को
इस घर में आकर
अपनी परवर्ती संततियों के बीच
वह बुज़ुर्ग एक
बच्चा बन जाता है
झुर्रियों के बीच की उसकी हँसी को
पचहत्तर वर्ष पूर्व
जाकर देख लेती हैं
इस घर की दीवारें
तब वह मात्र पाँच वर्ष का था
मैं देखना चाहता हूँ
फुल्लनपुर का
वह पुराना मकान
फिर-फिर
जो एक वृद्ध के लिए
किसी क़रामाती प्लास्टिक सर्जन से
कहीं बढ़कर है।
phullanpur
ghazipur janpad mein hai
wahan dikhta hai
ek purana pushtaini makan
railway gumti ke theek pas mein
khuli hain jiski khiDkiyan
jo nili hain,
jiska bahari darwaza ho gaya hai
dhool dhusarit itna
ki us nile par jaise
hawa ne apne hathon
dhool ki koi moti parat chaDha di ho
us ghar mein
in dinon koi nahin rahta
magar
hawa, dhoop, barish ka sath
milta rahta hai use
kuch na kuch
badalta rahta hai ghar
ghumti hui is prithwi par
ghoom raha hoga kahin idhar udhar
is ghar mein pala baDha
iklauta beta
jo ho chuka wriddh kab ka
magar
is ghar ke liye
ab bhi wo ‘bachuwa’ hi hai,
hawa, dhoop, barish ka sath
milta hoga use bhi
badal raha hoga wo bhi
kuch na kuch
jab koi awsar ayega
ye do badle hue log
galabhiyan karenge
purane dinon ko yaad karenge
dhule khilkhilate nile rang mein
ghar ke darwaze aur khiDkiyan
dular kar rahi hongi
us bachuwa ke
pote potiyon ko
is ghar mein aakar
apni parwarti santatiyon ke beech
wo buzurg ek
bachcha ban jata hai
jhurriyon ke beech ki uski hansi ko
pachhattar warsh poorw
jakar dekh leti hain
is ghar ki diwaren
tab wo matr panch warsh ka tha
main dekhana chahta hoon
phullanpur ka
wo purana makan
phir phir
jo ek wriddh ke liye
kisi qaramati plastic surgeon se
kahin baDhkar hai
phullanpur
ghazipur janpad mein hai
wahan dikhta hai
ek purana pushtaini makan
railway gumti ke theek pas mein
khuli hain jiski khiDkiyan
jo nili hain,
jiska bahari darwaza ho gaya hai
dhool dhusarit itna
ki us nile par jaise
hawa ne apne hathon
dhool ki koi moti parat chaDha di ho
us ghar mein
in dinon koi nahin rahta
magar
hawa, dhoop, barish ka sath
milta rahta hai use
kuch na kuch
badalta rahta hai ghar
ghumti hui is prithwi par
ghoom raha hoga kahin idhar udhar
is ghar mein pala baDha
iklauta beta
jo ho chuka wriddh kab ka
magar
is ghar ke liye
ab bhi wo ‘bachuwa’ hi hai,
hawa, dhoop, barish ka sath
milta hoga use bhi
badal raha hoga wo bhi
kuch na kuch
jab koi awsar ayega
ye do badle hue log
galabhiyan karenge
purane dinon ko yaad karenge
dhule khilkhilate nile rang mein
ghar ke darwaze aur khiDkiyan
dular kar rahi hongi
us bachuwa ke
pote potiyon ko
is ghar mein aakar
apni parwarti santatiyon ke beech
wo buzurg ek
bachcha ban jata hai
jhurriyon ke beech ki uski hansi ko
pachhattar warsh poorw
jakar dekh leti hain
is ghar ki diwaren
tab wo matr panch warsh ka tha
main dekhana chahta hoon
phullanpur ka
wo purana makan
phir phir
jo ek wriddh ke liye
kisi qaramati plastic surgeon se
kahin baDhkar hai
स्रोत :
रचनाकार : अर्पण कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.