कुछ दिनों के लिए
घर का रास्ता
बदल जाता
तो बेहतर था
इस रास्ते पर
रोज़ चलकर
लगभग सब कुछ जान लिया है
जो घट सकता है
आने वाले कुछ सालों में
रास्ते का
हर पेड़
यथावत खड़ा है
न पुराने पत्थर ढहे हैं
न कोई नया जुड़ आया है
किनारों की दीवारें भी
अपनी जगहों पर चिपकी
ऊबने लगी हैं...
नदी ख़ामोश होकर बह रही है
और किनारे बसे लोग
किसी से वास्ता न रखकर
अपने-अपने कामों में
व्यस्त हैं
रास्ते पर पड़ता
हर क़दम
एक गहरी ऊब से
भारी होकर
ज़मीन में धँस जाता है
रास्ता कहीं नहीं पहुँचता
और लौटकर
घर वापस आ जाता है...
फ़िलहाल
और कुछ
बदलता नहीं दिखता
कुछ दिनों के लिए
घर का रास्ता
बदल जाता
तो बेहतर था
kuch dinon ke liye
ghar ka rasta
badal jata
to behtar tha
is raste par
roz chalkar
lagbhag sab kuch jaan liya hai
jo ghat sakta hai
ane wale kuch salon mein
raste ka
har peD
yathawat khaDa hai
na purane patthar Dhahe hain
na koi naya juD aaya hai
kinaron ki diwaren bhi
apni jaghon par chipki
ubne lagi hain
nadi khamosh hokar bah rahi hai
aur kinare base log
kisi se wasta na rakhkar
apne apne kamon mein
wyast hain
raste par paDta
har qadam
ek gahri ub se
bhari hokar
zamin mein dhans jata hai
rasta kahin nahin pahunchta
aur lautkar
ghar wapas aa jata hai
filaha
aur kuch
badalta nahin dikhta
kuch dinon ke liye
ghar ka rasta
badal jata
to behtar tha
kuch dinon ke liye
ghar ka rasta
badal jata
to behtar tha
is raste par
roz chalkar
lagbhag sab kuch jaan liya hai
jo ghat sakta hai
ane wale kuch salon mein
raste ka
har peD
yathawat khaDa hai
na purane patthar Dhahe hain
na koi naya juD aaya hai
kinaron ki diwaren bhi
apni jaghon par chipki
ubne lagi hain
nadi khamosh hokar bah rahi hai
aur kinare base log
kisi se wasta na rakhkar
apne apne kamon mein
wyast hain
raste par paDta
har qadam
ek gahri ub se
bhari hokar
zamin mein dhans jata hai
rasta kahin nahin pahunchta
aur lautkar
ghar wapas aa jata hai
filaha
aur kuch
badalta nahin dikhta
kuch dinon ke liye
ghar ka rasta
badal jata
to behtar tha
स्रोत :
रचनाकार : स्वाति मेलकानी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.