घर तुम इतने दूर क्यों हो?
क्यों मुश्किल है तुम तक आना?
भूखा थका प्यासा दमियल मैला घामड़ गंधैला
घुटने पे सूजन एड़ी में कंकड़ की चुभन
हाथ में झोली न उठा पाता
मैं ऊबड़-खाबड़ रास्ते पर टूटे हुए पीढ़े पर
बबूल के नीचे की घास पर
फसक जाता हूँ तब तुम्हें थोड़ी भी दया नहीं आती।
तुम्हारे पनसाल में मटकी है
तुम्हारे छीके में रोटी है
तुम्हारी कोठरी में खटिया है
तुम्हारे चबूतरे पर चौकी है
तुम्हारे टोड़े पर बारीक नज़र की चिड़िया है
क्या तुम्हें मैं कहीं नहीं दिखता?
लेकिन घर, तुम तो ठीक हो ना?
दीवार के रंग की पपड़ियाँ उखड़ नहीं रही ना?
दरवाज़े किचुड़ते नहीं हैं ना?
खिड़की की चटकनियाँ सटकी नहीं ना?
छप्पर रिसता नहीं ना?
फ़र्श पर धूल चिपकी नहीं ना?
पानी का नल टपकता नहीं ना?
बिजली का बिल समय से चुकाया जाता है ना?
डाकिया चिट्ठी लाता है ना?
अख़बार आता है ना?
जान-पहचान के अनजान देर-सवेर घंटी बजाते हैं ना?
ghar tum itne door kyon ho?
kyon mushkil hai tum tak ana?
bhukha thaka pyasa damiyal maila ghamaD gandhaila
ghutne pe sujan eDi mein kankaD ki chubhan
hath mein jholi na utha pata
main ubaD khabaD raste par tute hue piDhe par
babul ke niche ki ghas par
phasak jata hoon tab tumhein thoDi bhi daya nahin aati
tumhare pansal mein matki hai
tumhare chhike mein roti hai
tumhari kothari mein khatiya hai
tumhare chabutre par chauki hai
tumhare toDe par barik nazar ki chiDiya hai
kya tumhein main kahin nahin dikhta?
lekin ghar, tum to theek ho na?
diwar ke rang ki papDiyan ukhaD nahin rahi na?
darwaze kichuDte nahin hain na?
khiDki ki chatakaniyan satki nahin na?
chhappar rista nahin na?
farsh par dhool chipki nahin na?
pani ka nal tapakta nahin na?
bijli ka bil samay se chukaya jata hai na?
Dakiya chitthi lata hai na?
akhbar aata hai na?
jaan pahchan ke anjan der sawer ghanti bajate hain na?
ghar tum itne door kyon ho?
kyon mushkil hai tum tak ana?
bhukha thaka pyasa damiyal maila ghamaD gandhaila
ghutne pe sujan eDi mein kankaD ki chubhan
hath mein jholi na utha pata
main ubaD khabaD raste par tute hue piDhe par
babul ke niche ki ghas par
phasak jata hoon tab tumhein thoDi bhi daya nahin aati
tumhare pansal mein matki hai
tumhare chhike mein roti hai
tumhari kothari mein khatiya hai
tumhare chabutre par chauki hai
tumhare toDe par barik nazar ki chiDiya hai
kya tumhein main kahin nahin dikhta?
lekin ghar, tum to theek ho na?
diwar ke rang ki papDiyan ukhaD nahin rahi na?
darwaze kichuDte nahin hain na?
khiDki ki chatakaniyan satki nahin na?
chhappar rista nahin na?
farsh par dhool chipki nahin na?
pani ka nal tapakta nahin na?
bijli ka bil samay se chukaya jata hai na?
Dakiya chitthi lata hai na?
akhbar aata hai na?
jaan pahchan ke anjan der sawer ghanti bajate hain na?
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक गुजराती कविताएँ (पृष्ठ 56)
संपादक : वर्षा दास
रचनाकार : दिलीप झवेरी
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.