घमंड कर रहे हैं पहाड़;
हम कितने ऊँचे हैं
चढ़ना आसान नहीं है किसी को अपने शिखर तक
मगर एक छोटा सा चूहा
काट सकता है बिना कोई मुरव्वत
किसी भी पहाड़ को चाहने पर
सागर गरजता है।
अपने मुँह बड़ा है
कोई भी नहीं जान सकता अपनी गहराई और चौड़ाई
मगर
सागर के अंदर जो हैं मोती, अपने आप बढ़कर
सोचते हैं कि यह नमक ज़रूर नहीं चाहिए
और आते हैं आदमी के पास ही मुँह खोलकर
आसमान भी घोषित करता है मौन रूप से
सुबह और शाम
सूरज और चाँद पैदा होते हैं मुझसे ही
और
पहाड़, सागर भी
घमंड करे और गरजने पर भी
नीचे ही रहेंगे अपने पाँव के
सागर
किसी के खाकर फेंके बीज से
पैदा होकर आसमान तक बढ़े पेड़
आसमान जो छाया नहीं देता
उसे कृपा करते हैं किसी को भी।
भूख-कैसी भी हो, कहीं भी हो
नहीं बहती, नहीं गरजती, नहीं करती शोषण
बंदूक में छिपकर
अंधकार को भी चीरकर
सूरज को भी धिक्कारकर
कर रही होगी इंतज़ार
इस संसार को हड़पने के लिए
सामने पड़ी तो अपनी जैसी और एक भूख
अगर हो तो उसे भी निगलने के लिए।
पहाड़ को काटते चूहे
सागर की गहराई में मोतियाँ
छाया देने वाले पेड़
कहाँ रहे थे तब, मानव?
कहाँ रहे थे?
ghamanD kar rahe hain pahaD;
hum kitne unche hain
chaDhna asan nahin hai kisi ko apne sikhar tak
magar ek chhota sa chuha
kat sakta hai bina koi murawwat
kisi bhi pahaD ko chahne par
sagar garajta hai
apne munh baDa hai
koi bhi nahin jaan sakta apni gahrai aur chauDai
magar
sagar ke andar jo hain moti, apne aap baDhkar
sochte hain ki ye namak zarur nahin chahiye
aur aate hain adami ke pas hi munh kholkar
asman bhi ghoshait karta hai maun roop se
subah aur sham
suraj aur chand paida hote hain mujhse hi
aur
pahaD, sagar bhi
ghamanD kare aur garajne par bhi
niche hi rahenge apne panw ke
sagar
kisi ke khakar phenke beej se
paida hokar asman tak baDhe peD
asman jo chhaya nahin deta
use kripa karte hain kisi ko bhi
bhookh kaisi bhi ho, kahin bhi ho
nahin bahti, nahin garajti, nahin karti shoshan
banduk mein chhipkar
andhkar ko bhi chirkar
suraj ko bhi dhikkarkar
kar rahi hogi intzar
is sansar ko haDapne ke liye
samne paDi to apni jaisi aur ek bhookh
agar ho to use bhi nigalne ke liye
pahaD ko katte chuhe
sagar ki gahrai mein motiyan
chhaya dene wale peD
kahan rahe the tab, manaw?
kahan rahe the?
ghamanD kar rahe hain pahaD;
hum kitne unche hain
chaDhna asan nahin hai kisi ko apne sikhar tak
magar ek chhota sa chuha
kat sakta hai bina koi murawwat
kisi bhi pahaD ko chahne par
sagar garajta hai
apne munh baDa hai
koi bhi nahin jaan sakta apni gahrai aur chauDai
magar
sagar ke andar jo hain moti, apne aap baDhkar
sochte hain ki ye namak zarur nahin chahiye
aur aate hain adami ke pas hi munh kholkar
asman bhi ghoshait karta hai maun roop se
subah aur sham
suraj aur chand paida hote hain mujhse hi
aur
pahaD, sagar bhi
ghamanD kare aur garajne par bhi
niche hi rahenge apne panw ke
sagar
kisi ke khakar phenke beej se
paida hokar asman tak baDhe peD
asman jo chhaya nahin deta
use kripa karte hain kisi ko bhi
bhookh kaisi bhi ho, kahin bhi ho
nahin bahti, nahin garajti, nahin karti shoshan
banduk mein chhipkar
andhkar ko bhi chirkar
suraj ko bhi dhikkarkar
kar rahi hogi intzar
is sansar ko haDapne ke liye
samne paDi to apni jaisi aur ek bhookh
agar ho to use bhi nigalne ke liye
pahaD ko katte chuhe
sagar ki gahrai mein motiyan
chhaya dene wale peD
kahan rahe the tab, manaw?
kahan rahe the?
स्रोत :
पुस्तक : गांधी नामक प्रतिमा और अन्य कविताएँ (पृष्ठ 21)
रचनाकार : ना. मोगसाले
प्रकाशन : राजमंगल प्रकाशन
संस्करण : 2022
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.