दिल्ली शहर में क़ब्रिस्तान के गुलाब-वन में
हज़ारों क़ब्रें बनी हुई हैं,
केवल एक ने अंजान की तरह उस आँगन के कोने में
मुक्त हवा में हृदय खोल दिया है।
ऊपर शामियाने-जैसा नीलाकाश
छाती पर हरी घास का गलीचा
प्रकृति के उस सरस सराग मुकुलित हृदय में
खो गया है मलिन मिट्टी के शरीर में।
विलासी राजपुत्र के पास भिखारी जैसी
यह जो मिट्टी की क़ब्र दिखाई दे रही है
उसके अंदर विश्राम कर रही है जहाँ आरा
बादशाह की कन्या, अनुपम सुंदरी।
बंदी पिता की सेवा के लिए जिसने सर्वस्व छोड़कर
त्याग का जीवन वरण किया कारावास में
मृत्यु-धूसर ओष्ठपुट से हृदय की बात
कह गई थी वेदना-आतुर भाषा में।
धन, दौलत, मान, संभ्रम, विलास-श्री
मानव जीवन को कर देते हैं कितना हीन
उनके बंधन में मुझे मत रखना
मैं उनके तत्व को समझती हूँ चिरदिन
मुझे नहीं चाहिए मर्मर-निर्मित क़ब्र
मृत्यु-लोक में मैं नहीं चाहती कारागार
मेरी कामना है मुकुलित वन की मुकुलित वायु
नील-गगन की मुकुलित आशीष-धार।
dilli shahr mein kabristan ke gulab ban mein
hazaro kabren bani hui hain,
keval ek ne anjan ki tarah us angan ke kone mein
mukt hava mae hirdai khol diya hai.
upar shamiyane jaisa nilakash
chhati par hari ghaas ka galicha
prakrti ke us saras sarag mukulit hirdai mein
kho gaya hai malin mitti ke sharir mein.
vilasi rajaputr paas bhikhari jaisi
ye jo mitti ki kabr dikhai de rahi hai
uske andar vishram kar rahi hai jahannara
badashah ki kanya, anupam sundari.
bandi pita ki seva ke liye jisne sarvratr chhoDkar
tyaag ka jivan varn kiya karavas mein
mirtyu dhusar oshthput se hirdai ki baat
kah gai thi bedana aatur bhasha mein.
dhan, daulat, maan, sabhram, bilas shri
manav jivan ko kar dete hai kitna heen
unke bandhan mae mujhe mat rakhna
main unke tattv ko samajhti hoon chirdin
mujhe nahin chahiye marmar nirmit kabr
mirtyu lok mein main nahin chahti karagar
meri kamna hai mukulit van ki mukulit vayu
neel gagan ki mukulit ashish dhaar.
dilli shahr mein kabristan ke gulab ban mein
hazaro kabren bani hui hain,
keval ek ne anjan ki tarah us angan ke kone mein
mukt hava mae hirdai khol diya hai.
upar shamiyane jaisa nilakash
chhati par hari ghaas ka galicha
prakrti ke us saras sarag mukulit hirdai mein
kho gaya hai malin mitti ke sharir mein.
vilasi rajaputr paas bhikhari jaisi
ye jo mitti ki kabr dikhai de rahi hai
uske andar vishram kar rahi hai jahannara
badashah ki kanya, anupam sundari.
bandi pita ki seva ke liye jisne sarvratr chhoDkar
tyaag ka jivan varn kiya karavas mein
mirtyu dhusar oshthput se hirdai ki baat
kah gai thi bedana aatur bhasha mein.
dhan, daulat, maan, sabhram, bilas shri
manav jivan ko kar dete hai kitna heen
unke bandhan mae mujhe mat rakhna
main unke tattv ko samajhti hoon chirdin
mujhe nahin chahiye marmar nirmit kabr
mirtyu lok mein main nahin chahti karagar
meri kamna hai mukulit van ki mukulit vayu
neel gagan ki mukulit ashish dhaar.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 77 )
रचनाकार : विद्युत प्रभा देवी
प्रकाशन : साहित्य अकादमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.