तुम्हारी मृत्यु में
प्रतिबिंबित है हम सबकी मृत्यु—
कवि कहीं अकेला मरता है!
सूरज के साथ-साथ एक बहुत बड़ा संसार
डूब जाती है
फिर एक नए दिन को जन्म देने के लिए।
पथराती पुतलियों में
लड़खड़ाता अँधेरा
एक नए लोक का द्वार खोलता है
और उठने की शक्ति खोने से पहले
हर हाथ भविष्य को आगे ढकेल जाता है।
तुम्हारे हाथों से जुड़े हैं असंख्य हाथ
वे निष्प्राण कैसे हो सकते हैं!
बनी-बनाई लीकों पर न चलने वालों की
यात्रा का अंत
पूर्ण विराम में कहाँ होता है!
जाते-जाते भी उसकी साँस
किसी एकांत डाल को हिलाकर उसमें
फूल खिला जाती है
और कहीं दुर्गम भूमि पर
एक पगडंडी बन जाती है
जहाँ उसकी आत्मा को खोजते हैं।
तुम थे—
हम सबके अधिक तेजस रूप
अधिक प्रखर आकृति,
तुम्हारा टूटना
हम सबके आकारों का टूटना है।
नहीं... नहीं
जीवित हैं हम सब अभी भी,
और हम सबमें जीवित हो तुम।
ये लहरें जाने कहाँ से आती हैं
जो हमारी पसलियों पर
अपने को तोड़ती चली जाती हैं,
हमें निरंतर गढ़ती जाती हैं
तुम्हारे अनुरूप
एक ऐसी मृत्यु में
जो जीवन से दिव्य है।
tumhari mirtyu mein
pratibimbit hai hum sabki mirtyu—
kawi kahin akela marta hai!
suraj ke sath sath ek bahut baDa sansar
Doob jati hai
phir ek nae din ko janm dene ke liye
pathrati putaliyon mein
laDkhaData andhera
ek nae lok ka dwar kholta hai
aur uthne ki shakti khone se pahle
har hath bhawishya ko aage Dhakel jata hai
tumhare hathon se juDe hain asankhya hath
we nishpran kaise ho sakte hain!
bani banai likon par na chalne walon ki
yatra ka ant
poorn wiram mein kahan hota hai!
jate jate bhi uski sans
kisi ekant Dal ko hilakar usmen
phool khila jati hai
aur kahin durgam bhumi par
ek pagDanDi ban jati hai
jahan uski aatma ko khojte hain
tum the—
hum sabke adhik tejas roop
adhik prakhar akriti,
tumhara tutna
hum sabke akaron ka tutna hai
nahin nahin
jiwit hain hum sab abhi bhi,
aur hum sabmen jiwit ho tum
ye lahren jane kahan se aati hain
jo hamari pasaliyon par
apne ko toDti chali jati hain,
hamein nirantar gaDhti jati hain
tumhare anurup
ek aisi mirtyu mein
jo jiwan se diwy hai
tumhari mirtyu mein
pratibimbit hai hum sabki mirtyu—
kawi kahin akela marta hai!
suraj ke sath sath ek bahut baDa sansar
Doob jati hai
phir ek nae din ko janm dene ke liye
pathrati putaliyon mein
laDkhaData andhera
ek nae lok ka dwar kholta hai
aur uthne ki shakti khone se pahle
har hath bhawishya ko aage Dhakel jata hai
tumhare hathon se juDe hain asankhya hath
we nishpran kaise ho sakte hain!
bani banai likon par na chalne walon ki
yatra ka ant
poorn wiram mein kahan hota hai!
jate jate bhi uski sans
kisi ekant Dal ko hilakar usmen
phool khila jati hai
aur kahin durgam bhumi par
ek pagDanDi ban jati hai
jahan uski aatma ko khojte hain
tum the—
hum sabke adhik tejas roop
adhik prakhar akriti,
tumhara tutna
hum sabke akaron ka tutna hai
nahin nahin
jiwit hain hum sab abhi bhi,
aur hum sabmen jiwit ho tum
ye lahren jane kahan se aati hain
jo hamari pasaliyon par
apne ko toDti chali jati hain,
hamein nirantar gaDhti jati hain
tumhare anurup
ek aisi mirtyu mein
jo jiwan se diwy hai
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 86)
रचनाकार : सर्वेश्वरदयाल सक्सेना
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.