अभी-अभी तुमसे बात करके
पता चला कि
जंगल कितना पास आ गया मेरे
कितनी सुगंधित हो गई जंगली फूलों की गंध
अभी-अभी मुझे पता चला मेरे हाथ जो रीते थे
अमूल्य वस्तुओं से भर गए
उनमें तुम्हारा प्रेम जो है
अभी-अभी पानी का रंग और चमकीला लगने लगा
और पेड़ से गिरे ज़र्द पत्तों में भी दिखने लगी चमक
जिन सड़को पर यूँ ही सफ़र कर रही थी
वो महज़ सड़कें ही नहीं थी
अभी-अभी मुझे पता चला कि
जिसके वज़ूद को लोग नकार देते थे
उसका भी होना बहुत कुछ है पृथ्वी पर
और अभी-अभी मुझे लगा कि तुम जो
इतने दूर हो
दूर नहीं मेरे अंदर ही हो।
abhi abhi tumse baat karke
pata chala ki
jangal kitna pas aa gaya mere
kitni sugandhit ho gai jangli phulon ki gandh
abhi abhi mujhe pata chala mere hath jo rite the
amuly wastuon se bhar gaye
unmen tumhara prem jo hai
abhi abhi pani ka rang aur chamkila lagne laga
aur peD se gire zard patton mein bhi dikhne lagi chamak
jin saDko par yoon hi safar kar rahi thi
wo mahz saDken hi nahin thi
abhi abhi mujhe pata chala ki
jiske wazud ko log nakar dete the
uska bhi hona bahut kuch hai prithwi par
aur abhi abhi mujhe laga ki tum jo
itne door ho
door nahin mere andar hi ho
abhi abhi tumse baat karke
pata chala ki
jangal kitna pas aa gaya mere
kitni sugandhit ho gai jangli phulon ki gandh
abhi abhi mujhe pata chala mere hath jo rite the
amuly wastuon se bhar gaye
unmen tumhara prem jo hai
abhi abhi pani ka rang aur chamkila lagne laga
aur peD se gire zard patton mein bhi dikhne lagi chamak
jin saDko par yoon hi safar kar rahi thi
wo mahz saDken hi nahin thi
abhi abhi mujhe pata chala ki
jiske wazud ko log nakar dete the
uska bhi hona bahut kuch hai prithwi par
aur abhi abhi mujhe laga ki tum jo
itne door ho
door nahin mere andar hi ho
स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा ओस
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.