मैंने उसे बस इतना ही कहा था
कि हरे ने ही मुझे हरा
हरे ने ही मेरी आँखों की
वीरान वादियों को भरा
उसे लगा कि मैं अपनी
नास्तिकता को तजने लगा हूँ
मोहित भक्तों की क़तार में खड़ा
नाम भजने लगा हूँ
कृतज्ञता से अभिभूत वह दूत
मुझे एक विशाल भवन के बग़ीचे में ले गया
जहाँ वे सारे पंछी इत्मीनान से बैठे
दाना चुग रहे थे जो किसी कहानी में
पूरा का पूरा जाल ही ले उड़े थे
बहेलिए ने उन्हें अपने दिल में
जगह दे दी थी
बग़ीचे में रहकर अब उन्हें
जी भरकर चिचियाने की आज़ादी थी
मैं तो बस जंगल की हरियाली चाहता था
पर जो हरियाई मुझे दूत ने दिखाई
उसकी एकजान एकरंगता और एकस्वरता से
बाग़-बाग़ हुआ एक भी पंछी
अब रिहाई नहीं चाह रहा था
पता ही नहीं चला
कब सारे जंगल के पंछियों को
बहेलिए ने तोता बना डाला
mainne use bus itna hi kaha tha
ki hare ne hi mujhe hara
hare ne hi meri ankhon ki
wiran wadiyon ko bhara
use laga ki main apni
nastikta ko tajne laga hoon
mohit bhakton ki qatar mein khaDa
nam bhajne laga hoon
kritagyta se abhibhut wo doot
mujhe ek wishal bhawan ke baghiche mein le gaya
jahan we sare panchhi itminan se baithe
dana chug rahe the jo kisi kahani mein
pura ka pura jal hi le uDe the
baheliye ne unhen apne dil mein
jagah de di thi
baghiche mein rahkar ab unhen
ji bharkar chichiyane ki azadi thi
main to bus jangal ki hariyali chahta tha
par jo hariyai mujhe doot ne dikhai
uski ekjaan ekrangta aur ekaswarta se
bagh bagh hua ek bhi panchhi
ab rihai nahin chah raha tha
pata hi nahin chala
kab sare jangal ke panchhiyon ko
baheliye ne tota bana Dala
mainne use bus itna hi kaha tha
ki hare ne hi mujhe hara
hare ne hi meri ankhon ki
wiran wadiyon ko bhara
use laga ki main apni
nastikta ko tajne laga hoon
mohit bhakton ki qatar mein khaDa
nam bhajne laga hoon
kritagyta se abhibhut wo doot
mujhe ek wishal bhawan ke baghiche mein le gaya
jahan we sare panchhi itminan se baithe
dana chug rahe the jo kisi kahani mein
pura ka pura jal hi le uDe the
baheliye ne unhen apne dil mein
jagah de di thi
baghiche mein rahkar ab unhen
ji bharkar chichiyane ki azadi thi
main to bus jangal ki hariyali chahta tha
par jo hariyai mujhe doot ne dikhai
uski ekjaan ekrangta aur ekaswarta se
bagh bagh hua ek bhi panchhi
ab rihai nahin chah raha tha
pata hi nahin chala
kab sare jangal ke panchhiyon ko
baheliye ne tota bana Dala
स्रोत :
रचनाकार : सरबजीत गरचा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.