एक विचारशील बकरी
ऑगस्ट रोदाँ के तराशे हुए
विचारक से
बिल्कुल प्रेरणा नहीं लेती
सड़क के किनारे सिर झुकाए
वह अधूरे छूटे घास के बड़े मैदान को
चरने की बात सोच रही होती है
घास के बारे में सोचकर ऊब चुकी बकरी
दीवारों पर चढ़ जाती है
चढ़ पाए तो चढ़ जाती है
पेड़ों पर किसी तरह
किसी मैदान से प्रेम करने वाली बकरी
एक ही दिन में नहीं चबा डालती सारी घास
घास का मैदान अधूरा चरा हुआ छोड़
अपने बाड़े में लौटती बकरी
सोचती है
कुछ अधूरा छोड़ दो
तो लौटने की उम्मीद बनी रहती है
उसे नहीं पता कि
रोदाँ की क़ब्र के सिरहाने
सिर झुका कर बैठा हुआ विचारक
हरे रंग का है
स्वाभाविक मृत्यु न पाने वाली
वह
कटते वक़्त सोचती है
अगर ज़िंदगी अधूरी छोड़ दी तो
लौटने की
क्या उम्मीद होती है
ek wicharashil bakri
augast rodan ke tarashe hue
wicharak se
bilkul prerna nahin leti
saDak ke kinare sir jhukaye
wo adhure chhute ghas ke baDe maidan ko
charne ki baat soch rahi hoti hai
ghas ke bare mein sochkar ub chuki bakri
diwaron par chaDh jati hai
chaDh pae to chaDh jati hai
peDon par kisi tarah
kisi maidan se prem karne wali bakri
ek hi din mein nahin chaba Dalti sari ghas
ghas ka maidan adhura chara hua chhoD
apne baDe mein lautti bakri
sochti hai
kuch adhura chhoD do
to lautne ki ummid bani rahti hai
use nahin pata ki
rodan ki qabr ke sirhane
sir jhuka kar baitha hua wicharak
hare rang ka hai
swabhawik mirtyu na pane wali
wo
katte waqt sochti hai
agar zindagi adhuri chhoD di to
lautne ki
kya ummid hoti hai
ek wicharashil bakri
augast rodan ke tarashe hue
wicharak se
bilkul prerna nahin leti
saDak ke kinare sir jhukaye
wo adhure chhute ghas ke baDe maidan ko
charne ki baat soch rahi hoti hai
ghas ke bare mein sochkar ub chuki bakri
diwaron par chaDh jati hai
chaDh pae to chaDh jati hai
peDon par kisi tarah
kisi maidan se prem karne wali bakri
ek hi din mein nahin chaba Dalti sari ghas
ghas ka maidan adhura chara hua chhoD
apne baDe mein lautti bakri
sochti hai
kuch adhura chhoD do
to lautne ki ummid bani rahti hai
use nahin pata ki
rodan ki qabr ke sirhane
sir jhuka kar baitha hua wicharak
hare rang ka hai
swabhawik mirtyu na pane wali
wo
katte waqt sochti hai
agar zindagi adhuri chhoD di to
lautne ki
kya ummid hoti hai
स्रोत :
रचनाकार : प्रज्वल चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.