होने और नहीं होने के बीच क्या होता है
कोई समानांतरता, त्रिकोण, वृत्त, अर्ध-वृत्त
आकाश, भू-धर द्वीप-द्वीपांतर
आलोक-अंधकार
जन्म-पुनर्जन्म
नहीं, कुछ भी नहीं
होने की बस चिंता होती है
दो हाथ उठते हैं ऊपर
दो ताड़ वृक्ष की छायाएँ, उतरती हैं
काँपती हुई, छोटे-छोटे कंधों पर
होने की—चिंता में होती है
एक औरत, एक मकान
और अंत में होते-होते
आदमी भटकती हुई तीखी और उदास
सीटियों की तरह
उतर जाता है
गहरी और दृष्टिहीन खंदक़ों में नीचे
होने के सुख से क्या
अच्छा नहीं है न होने का सुख
डूबते-डूबते भी पलाश का आर-पार
फैला हुआ वन
एक क्रास
उसके नीचे चलती हुई रक्ताभ लौ
एक मोमबत्ती
एक सवाल, नाकामयाबी
एक शब्द
और फिर कई ज़िंदगियों को नाराज़ी
टूटन, व्यर्थना, आक्रोश
और निश्शेष।
hone aur nahin hone ke beech kya hota hai
koi samanantarta, trikon, writt, ardh writt
akash, bhu dhar dweep dwipantar
alok andhkar
janm punarjanm
nahin, kuch bhi nahin
hone ki bus chinta hoti hai
do hath uthte hain upar
do taD wriksh ki chhayayen, utarti hain
kanpti hui, chhote chhote kandhon par
hone ki—chinta mein hoti hai
ek aurat, ek makan
aur ant mein hote hote
adami bhatakti hui tikhi aur udas
sitiyon ki tarah
utar jata hai
gahri aur drishtihin khandqon mein niche
hone ke sukh se kya
achchha nahin hai na hone ka sukh
Dubte Dubte bhi palash ka aar par
phaila hua wan
ek kras
uske niche chalti hui raktabh lau
ek mombatti
ek sawal, nakamayabi
ek shabd
aur phir kai zindagiyon ko narazi
tutan, wyarthna, akrosh
aur nishshesh
hone aur nahin hone ke beech kya hota hai
koi samanantarta, trikon, writt, ardh writt
akash, bhu dhar dweep dwipantar
alok andhkar
janm punarjanm
nahin, kuch bhi nahin
hone ki bus chinta hoti hai
do hath uthte hain upar
do taD wriksh ki chhayayen, utarti hain
kanpti hui, chhote chhote kandhon par
hone ki—chinta mein hoti hai
ek aurat, ek makan
aur ant mein hote hote
adami bhatakti hui tikhi aur udas
sitiyon ki tarah
utar jata hai
gahri aur drishtihin khandqon mein niche
hone ke sukh se kya
achchha nahin hai na hone ka sukh
Dubte Dubte bhi palash ka aar par
phaila hua wan
ek kras
uske niche chalti hui raktabh lau
ek mombatti
ek sawal, nakamayabi
ek shabd
aur phir kai zindagiyon ko narazi
tutan, wyarthna, akrosh
aur nishshesh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.