मैंने
उतार लाया है
रोता हुआ
शायद... हँसता हुआ
नहीं-नहीं
रोने के बाद
हँसता हुआ
सफ़ेद बादलों का एक फाहा
और उसे रख दिया है अपने ज़ख़्मों पर
जब ज़ख़्मों से रिसता हुआ लहू
उस फाहे में समा
मेरी क़लम की स्याही बनता है
तभी तो मैं लिख पाता हूँ
दर्द भरी
शायद... प्रेम भरी
नहीं-नहीं
दर्द के बाद
प्रेम भरी कविता
देखो मेरी कविता में मैं हूँ
शायद... मेरी कविता में तुम हो
नहीं-नहीं
मेरी कविता में मैं नहीं
सिर्फ़ तुम हो
मेरी कविता के हर्फ़ चमकते हैं
यह चमक सफ़ेद बादलों के फाहे ही हैं
शायद... यह चमक स्याही बने मेरे ख़ून की है
नहीं-नहीं
यह चमक तुम्हारी कविता हो
मेरे पन्ने पर उतर जाने की है।
मेरी कविता बदसूरत है
अशोक वाटिका में
सीता की सेवा में लगी त्रिजटा की तरह
शायद... मेरी कविता सुंदर है
मेनका के सौंदर्य की तरह
नहीं-नहीं
मेरी कविता बदसूरती के बाद सुंदर है
कृष्ण को दूध पिलाती पूतना की तरह
मेरी कविता शापित है
अर्जुन के बृहन्नला बनने की तरह
शायद... मेरी कविता वरदानित है
रक्तबीज की तरह
नहीं-नहीं
मेरी कविता शापित हो वरदानित है
गौतम की आहिल्या की तरह
मेरी कविता इकरंगी है
शायद... मेरी कविता बहुरंगी है
नहीं-नहीं
मेरी कविता इकरंगी के बाद बहुरंगी है
जब मेरी कविता बहुरंगी बनती है
तो उस रिक्त स्थान पर
जिधर से मैं
बादलों का फाहा उतार लाया था
एक इंद्रधनुष-सा चमक जाता है।
mainne
utaar laya hai
rota hua
shayad. . . hansta hua
nahin nahin
rone ke baad
hansta hua
safed badalon ka ek phaha
aur use rakh diya hai apne zakhmon par
jab zakhmon se rista hua lahu
us phahe mein sama
meri qalam ki syahi banta hai
tabhi to mein likh pata hoon
dard bhari
shayad. . . prem bhari
nahin nahin
dard ke baad prem bhari kavita
dekho meri kavita mein main hoon
shayad. . . meri kavita mein tum ho
nahin nahin
meri kavita mein main nahin
sirf tum ho
meri kavita ke harf chamakte hain
ye chamak safed badalon ke phahe hi hai
shayad. . . ye chamak syahi bane mere khoon ki hai
nahin nahin
ye chamak tumhare kavita ho
mere panne par utar jane ki hai.
meri kavita badsurat hai
ashok vatika men
sita ki seva mein lagi trijta ki tarah
shayad. . . meri kavita sundar hai
menka ke saundarya ki tarah
nahin nahin
meri kavita badsurati ke baad sundar hai
krishn ko doodh pilati putna ki tarah
meri kavita shrapit hai
arjun ke brihannla banne ki tarah
shayad. . . meri kavita vardanit hai
rakt beej ki tarah
nahin nahin
meri kavita shrapit ho vardanit hai
gautam ki ahilya ki tarah
meri kavita ikrangi hai
shayad. . . meri kavita bahurangi hai
nahin nahin
meri kavita ikrangi ke baad bahurangi hai
jab meri kavita bahurangi banti hai
to us rikt sthaan par
jidhar se main
badalo ka phaha utaar laya tha
ik indradhnush sa chamak jata hai.
mainne
utaar laya hai
rota hua
shayad. . . hansta hua
nahin nahin
rone ke baad
hansta hua
safed badalon ka ek phaha
aur use rakh diya hai apne zakhmon par
jab zakhmon se rista hua lahu
us phahe mein sama
meri qalam ki syahi banta hai
tabhi to mein likh pata hoon
dard bhari
shayad. . . prem bhari
nahin nahin
dard ke baad prem bhari kavita
dekho meri kavita mein main hoon
shayad. . . meri kavita mein tum ho
nahin nahin
meri kavita mein main nahin
sirf tum ho
meri kavita ke harf chamakte hain
ye chamak safed badalon ke phahe hi hai
shayad. . . ye chamak syahi bane mere khoon ki hai
nahin nahin
ye chamak tumhare kavita ho
mere panne par utar jane ki hai.
meri kavita badsurat hai
ashok vatika men
sita ki seva mein lagi trijta ki tarah
shayad. . . meri kavita sundar hai
menka ke saundarya ki tarah
nahin nahin
meri kavita badsurati ke baad sundar hai
krishn ko doodh pilati putna ki tarah
meri kavita shrapit hai
arjun ke brihannla banne ki tarah
shayad. . . meri kavita vardanit hai
rakt beej ki tarah
nahin nahin
meri kavita shrapit ho vardanit hai
gautam ki ahilya ki tarah
meri kavita ikrangi hai
shayad. . . meri kavita bahurangi hai
nahin nahin
meri kavita ikrangi ke baad bahurangi hai
jab meri kavita bahurangi banti hai
to us rikt sthaan par
jidhar se main
badalo ka phaha utaar laya tha
ik indradhnush sa chamak jata hai.
स्रोत :
रचनाकार : कुमार कृष्ण शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.