बच्चे ने प्रदूषण पर
तस्वीर बनाई थी
तस्वीर के बीचोबीच एक घर
उसके आगे एक रास्ता
जो जाता था पहाड़ की ओर
पहाड़ पर जंगल थे
वहाँ से निकलकर
एक नदी जाती थी मैदान की तरफ़
मैदान में एक बच्चा खेल रहा था
एक गाय चर रही थी
एक चिड़िया चुग रही थी
कारख़ाना कहाँ है?
मैंने पूछा—इस तस्वीर में कहाँ है कारख़ाना?
कारख़ाने से कालिख निकलेगी
तो सारी तस्वीर
गंदी हो जाएगी
उसने कहा—
कारख़ाने के शोर से बच्चा रोने लगेगा
गाय भाग जाएगी
चिड़िया उड़ जाएगी
बनाओ!
मैंने डपटकर कहा—प्रदूषण
और विनाश का संकट दरसाने को
तस्वीर में कारख़ाना ज़रूरी है
बनाओ!
पर आपको आश्चर्य होगा, मित्रो
बच्चा मेरे आगे
ढीठ की तरह खड़ा था
और किसी भी हाल में
कारख़ाना नहीं बनाने के फ़ैसले पर
अड़ा था
आपको आश्चर्य होगा
उसने मेरे हाथ से तस्वीर छीन ली
और चला गया
मैं अवाक् देखता रहा उसकी पीठ
पर जानता था यह बच्चा
कभी अपनी पीठ नहीं दिखाएगा
आज जिस हौसले से इसने
एक तस्वीर बचाई है
कल पूरी दुनिया बचाएगा।
bachche ne pradushan par
tasvir banai thi
tasvir ke bichon beech ek ghar
uske aage ek rasta
jo jata tha pahaD ki or
pahaD par jangal the
vahan se nikalkar
ek nadi jati thi maidan ki taraf
maidan mein ek bachcha khel raha tha
ek gaay char rahi thi
ek chiDiya chug rahi thi
karkhana kahan hai
mainne puchha—is tasvir mein kahan hai karkhana
karkhane se kalikh niklegi
to sari tasvir
gandi ho jayegi
usne kaha—karkhane ke shor se bachcha rone lagega
gaay bhaag jayegi, chiDiya uD jayegi
banao!
mainne Dapatkar kaha—pradushan
aur vinash ka sankat darsane ko
tasvir mein karkhana zaruri hai
banao!
par aapko ashchary hoga, mitro
bachcha mere aage
Dheeth ki tarah khaDa tha
aur kisi bhi haal men
karkhana nahin banane ke faisle par
aDa tha
aapko ashchary hoga
usne mere haath se tasvir chheen li
aur chala gaya
main avak dekhta raha uski peeth
par janta tha ye bachcha
kabhi apni peeth nahin dikhayega
aaj jis hausale se isne
ek tasvir bachai hai
kal puri duniya bachayega.
bachche ne pradushan par
tasvir banai thi
tasvir ke bichon beech ek ghar
uske aage ek rasta
jo jata tha pahaD ki or
pahaD par jangal the
vahan se nikalkar
ek nadi jati thi maidan ki taraf
maidan mein ek bachcha khel raha tha
ek gaay char rahi thi
ek chiDiya chug rahi thi
karkhana kahan hai
mainne puchha—is tasvir mein kahan hai karkhana
karkhane se kalikh niklegi
to sari tasvir
gandi ho jayegi
usne kaha—karkhane ke shor se bachcha rone lagega
gaay bhaag jayegi, chiDiya uD jayegi
banao!
mainne Dapatkar kaha—pradushan
aur vinash ka sankat darsane ko
tasvir mein karkhana zaruri hai
banao!
par aapko ashchary hoga, mitro
bachcha mere aage
Dheeth ki tarah khaDa tha
aur kisi bhi haal men
karkhana nahin banane ke faisle par
aDa tha
aapko ashchary hoga
usne mere haath se tasvir chheen li
aur chala gaya
main avak dekhta raha uski peeth
par janta tha ye bachcha
kabhi apni peeth nahin dikhayega
aaj jis hausale se isne
ek tasvir bachai hai
kal puri duniya bachayega.
स्रोत :
रचनाकार : राकेश रंजन
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.