दिल के संगीन पत्थर से
कभी उठती है कोई भाप
जैसे शताब्दियों के बाद उठी हो
और किसी आँख की धुँध बन जाती है
या कहिए एक गोपनीय आँसू
जो छलक जाता है अकेले में
लेकिन बहता नहीं
यह निरा आँसू नहीं
कोई कठिन निष्कर्ष है
कुछ-कुछ झिलमिलाता है
जैसे यही हो आँख
जिससे एक पल में अब तक न देखा हुआ
सारा एक साथ दिखाई देता है
पराजय में जो बची रही गरिमा
और शोक में जो बचा रहा प्यार
वह ठीक इसी पल देखा जा सकता है
सब कुछ स्वच्छ है
कोई पश्चाताप नहीं
बस एक ग्लानि है जो कोई बड़ी बात नहीं
हाँ, जो इसकी आब को कुछ मलिन बनाती है
पता नहीं यह कितने प्रकाश वर्ष
दूर चलकर आया हो
थका हुआ हो छिपना चाहता हो
और अभी वापस लौटना चाहता हो
इसे सहारा दें
और वापस लौटने दें अपनी कंदरा में
dil ke sangin patthar se
kabhi uthti hai koi bhap
jaise shatabdiyon ke baad uthi ho
aur kisi ankh ki dhundh ban jati hai
ya kahiye ek gopaniy ansu
jo chhalak jata hai akele mein
lekin bahta nahin
ye nira ansu nahin
koi kathin nishkarsh hai
kuch kuch jhilmilata hai
jaise yahi ho ankh
jisse ek pal mein ab tak na dekha hua
sara ek sath dikhai deta hai
parajay mein jo bachi rahi garima
aur shok mein jo bacha raha pyar
wo theek isi pal dekha ja sakta hai
sab kuch swachchh hai
koi pashchatap nahin
bus ek glani hai jo koi baDi baat nahin
han, jo iski aab ko kuch malin banati hai
pata nahin ye kitne parkash warsh
door chalkar aaya ho
thaka hua ho chhipna chahta ho
aur abhi wapas lautna chahta ho
ise sahara den
aur wapas lautne den apni kandra mein
dil ke sangin patthar se
kabhi uthti hai koi bhap
jaise shatabdiyon ke baad uthi ho
aur kisi ankh ki dhundh ban jati hai
ya kahiye ek gopaniy ansu
jo chhalak jata hai akele mein
lekin bahta nahin
ye nira ansu nahin
koi kathin nishkarsh hai
kuch kuch jhilmilata hai
jaise yahi ho ankh
jisse ek pal mein ab tak na dekha hua
sara ek sath dikhai deta hai
parajay mein jo bachi rahi garima
aur shok mein jo bacha raha pyar
wo theek isi pal dekha ja sakta hai
sab kuch swachchh hai
koi pashchatap nahin
bus ek glani hai jo koi baDi baat nahin
han, jo iski aab ko kuch malin banati hai
pata nahin ye kitne parkash warsh
door chalkar aaya ho
thaka hua ho chhipna chahta ho
aur abhi wapas lautna chahta ho
ise sahara den
aur wapas lautne den apni kandra mein
स्रोत :
पुस्तक : ज़िल्लत की रोटी (पृष्ठ 116)
रचनाकार : मनमोहन
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.