बचपन से मुझे शालीनता सिखाई गई
मुझे बताया गया
उग्रता मुझे शोभा नहीं देता है
जब मैंने ग़ुस्से में हाथ-पाँव पटके
मुझसे कहा गया—
लड़कियों का हाथ-पाँव पटकना अशोभनीय है
जब मैंने चिल्लाकर क्रोध प्रकट करना चाहा
मुझसे कहा गया—
ससुराल में कैसे टिक पाओगी?
जब मैंने सामान तोड़कर प्रतिवाद करना चाहा
तो कहा गया कि लड़की हाथ से निकल रही है
पुरुषतांत्रिक समाज के ठेकेदारों द्वारा
बार-बार
मेरे हाथ पैर ज़ुबान पर अदृश्य पट्टियाँ बाँधी गईं
मुझे ज़बरन नरम बनाया गया
मुझसे अपने हक़ के लिए लड़ने की ताक़त छीनी गई
मुझसे मेरा क्रोध छीन लिया गया
तो मैंने बचपन से ही
मुखर होने के लिए
कभी आँसू का
कभी बंद कमरे का
तो कभी कलम का सहारा लिया
फिर एक दिन मेरे
संघर्षरत-स्वतंत्र-शिक्षित-नारीवादी व्यक्तित्व को
कटघरे में खड़ा किया गया
और पूछा गया—
क्या मैं अकेली इस समाज से लड़ सकती हूँ?
क्या मैं हज़ार पुरुषों की भीड़ में
ख़ुद को सुरक्षित रख सकती हूँ?
क्या मैं अपहृत, बलात्कारित, घरेलू हिंसाओं से शोषित होने से ख़ुद को बचा सकती हूँ?
मेरे हाँ कहने पर मुझसे
मेरे बल, क्रोध, उग्रता और मुखरता का
सबूत माँगा गया
मैंने कटघरे के बगल में रखे न्याय की देवी की ओर देखा
उसकी आँखों पर पट्टी बंधी थी
अचानक
युगों की पुरुषतांत्रिक अदृश्य पट्टियाँ
मेरे ज़ुबान-हाथ-पाँवों पर बध गईं
मैं सबूत नहीं दे पाई
और फिर कमज़ोर होने के अपराध में
मुझ पर 'द्वितीय नागरिक' का ठप्पा लगा दिया गया।
bachpan se mujhe shalinata sikhai gai
mujhe bataya gaya
ugrata mujhe shobha nahin deta hai
jab mainne ghusse mein haath paanv patke
mujhse kaha gaya—
laDakiyon ka haath paanv patakna ashobhaniy hai
jab mainne chillakar krodh prakat karna chaha
mujhse kaha gaya—
sasural mein kaise tik paogi?
jab mainne saman toDkar prativad karna chaha
to kaha gaya ki laDki haath se nikal rahi hai
purushtantrik samaj ke thekedaron dvara
baar baar
mere haath pair zuban par adrishya pattiyan bandhi gain
mujhe zabran naram banaya gaya
mujhse apne haq ke liye laDne ki taqat chhini gai
mujhse mera krodh chheen liya gaya
to mainne bachpan se hi
mukhar hone ke liye
kabhi ansu ka
kabhi band kamre ka
to kabhi kalam ka sahara liya
phir ek din mere
sangharshrat svtantr shikshit narivadi vyaktitv ko
katghare mein khaDa kiya gaya
aur puchha gaya—
kya main akeli is samaj se laD sakti hoon?
kya main hazar purushon ki bheeD men
khud ko surakshit rakh sakti hoon?
kya main aphrit, balatkarit, gharelu hinsaon se shoshit hone se khud ko bacha sakti hoon?
mere haan kahne par mujhse
mere bal, krodh, ugrata aur mukharta ka
sabut manga gaya
mainne katghare ke bagal mein rakhe nyaay ki devi ki or dekha
uski ankhon par patti bandhi thi
achanak
yugon ki purushtantrik adrishya pattiyan
mere zuban haath panvon par badh gain
main sabut nahin de pai
aur phir kamzor hone ke apradh mein
mujh par dvitiy nagarik ka thappa laga diya gaya.
bachpan se mujhe shalinata sikhai gai
mujhe bataya gaya
ugrata mujhe shobha nahin deta hai
jab mainne ghusse mein haath paanv patke
mujhse kaha gaya—
laDakiyon ka haath paanv patakna ashobhaniy hai
jab mainne chillakar krodh prakat karna chaha
mujhse kaha gaya—
sasural mein kaise tik paogi?
jab mainne saman toDkar prativad karna chaha
to kaha gaya ki laDki haath se nikal rahi hai
purushtantrik samaj ke thekedaron dvara
baar baar
mere haath pair zuban par adrishya pattiyan bandhi gain
mujhe zabran naram banaya gaya
mujhse apne haq ke liye laDne ki taqat chhini gai
mujhse mera krodh chheen liya gaya
to mainne bachpan se hi
mukhar hone ke liye
kabhi ansu ka
kabhi band kamre ka
to kabhi kalam ka sahara liya
phir ek din mere
sangharshrat svtantr shikshit narivadi vyaktitv ko
katghare mein khaDa kiya gaya
aur puchha gaya—
kya main akeli is samaj se laD sakti hoon?
kya main hazar purushon ki bheeD men
khud ko surakshit rakh sakti hoon?
kya main aphrit, balatkarit, gharelu hinsaon se shoshit hone se khud ko bacha sakti hoon?
mere haan kahne par mujhse
mere bal, krodh, ugrata aur mukharta ka
sabut manga gaya
mainne katghare ke bagal mein rakhe nyaay ki devi ki or dekha
uski ankhon par patti bandhi thi
achanak
yugon ki purushtantrik adrishya pattiyan
mere zuban haath panvon par badh gain
main sabut nahin de pai
aur phir kamzor hone ke apradh mein
mujh par dvitiy nagarik ka thappa laga diya gaya.
स्रोत :
रचनाकार : तृषान्निता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.