इतनी बड़ी दुनिया में
हज़ारों रहते हैं ऐसे सज्जन
जिनसे मेरे रिश्ते बनते-बनते रह गए
पर मन के सागर में समाई हुई हैं उनकी स्मृतियाँ—
रत्नों की तरह
वे बुलबुले बन कर उठती हैं
फिर समा जाती हैं यहाँ।
इतनी बड़ी दुनिया में लाख-लाख लोग ऐसे रहते हैं
जिनके साथ मेरे रिश्ते क़ायम हो सकते थे
बहुत मज़बूत रिश्ते
फिर वे क़ायम तो हैं
क्योंकि जिस रास्ते पर वे चले हैं बार-बार
उन्हीं रास्तों पर चलते रहे हैं
मेरे भी पाँव
और चलेंगे कभी।
इतनी बड़ी दुनिया में
अरबों लोग रहते हैं
अलग-अलग देशों में
मैं कभी कहाँ जान पाया उनको
उनके चेहरे से उनके नामों से
पर जो घनी हवाएँ उनको छू-छू कर बहती हैं
वे जब तब छू ही लेती हैं मुझको
या फिर छू कर उनको
छू लेती हैं मुझको।
itni baDi duniya mein
hazaron rahte hain aise sajjan
jinse mere rishte bante bante rah gaye
par man ke sagar mein samai hui hain unki smritiyan—
ratnon ki tarah
we bulbule ban kar uthti hain
phir sama jati hain yahan
itni baDi duniya mein lakh lakh log aise rahte hain
jinke sath mere rishte qayam ho sakte the
bahut mazbut rishte
phir we qayam to hain
kyonki jis raste par we chale hain bar bar
unhin raston par chalte rahe hain
mere bhi panw
aur chalenge kabhi
itni baDi duniya mein
arbon log rahte hain
alag alag deshon mein
main kabhi kahan jaan paya unko
unke chehre se unke namon se
par jo ghani hawayen unko chhu chhu kar bahti hain
we jab tab chhu hi leti hain mujhko
ya phir chhu kar unko
chhu leti hain mujhko
itni baDi duniya mein
hazaron rahte hain aise sajjan
jinse mere rishte bante bante rah gaye
par man ke sagar mein samai hui hain unki smritiyan—
ratnon ki tarah
we bulbule ban kar uthti hain
phir sama jati hain yahan
itni baDi duniya mein lakh lakh log aise rahte hain
jinke sath mere rishte qayam ho sakte the
bahut mazbut rishte
phir we qayam to hain
kyonki jis raste par we chale hain bar bar
unhin raston par chalte rahe hain
mere bhi panw
aur chalenge kabhi
itni baDi duniya mein
arbon log rahte hain
alag alag deshon mein
main kabhi kahan jaan paya unko
unke chehre se unke namon se
par jo ghani hawayen unko chhu chhu kar bahti hain
we jab tab chhu hi leti hain mujhko
ya phir chhu kar unko
chhu leti hain mujhko
स्रोत :
रचनाकार : राधावल्लभ त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.