तुम मेरी टीचर हो और दुनिया एक क्लास है
हमारी कक्षा में सूरज का लैंप टँगा है
चाँद-तारों का नक़्शा लगा है
जीवन मेरा सिलेबस की तरह रखा है
शहर, किताबें और खेत कापियाँ बन गए
तुम मुझे पढ़ा रही हो एक शहर में
किसी दूसरे शहर में पढ़ रहा हूँ
कभी ऑफ़िस में तो कभी घर में
कितना कुछ है तुम्हारी कक्षा में
सभ्यता का सारा ज्ञान और सूचनाएँ
सूरज की किरणों से लिख रहा हूँ होमवर्क
लहरों की तरह झिलमिला रहा है ज्ञान का जल
वाद-विवाद के अनंत घाटों पर
बना रहा हूँ धरती का शिल्प
अपने जीवन के सिलेबस से खेल रहा हूँ
मेरी कक्षा में मौसमों के सारे रंग उतर रहे हैं
बारिश में तुम्हारे साथ भीग रहा हूँ
सिकुड़ रहा हूँ सर्दियों की हवाओं में
धूप में झुलस कर पीपल के नीचे बैठ गया
तुम्हारी कक्षा में हर चीज़ सब्जेक्ट है
और पढ़ने के लिए कितना कुछ है।
tum meri teacher ho aur duniya ek class hai
hamari kaksha mein suraj ka lamp tanga hai
chand taron ka naqsha laga hai
jiwan mera syllabus ki tarah rakha hai
shahr, kitaben aur khet copiyan ban gaye
tum mujhe paDha rahi ho ek shahr mein
kisi dusre shahr mein paDh raha hoon
kabhi office mein to kabhi ghar mein
kitna kuch hai tumhari kaksha mein
sabhyata ka sara gyan aur suchnayen
suraj ki kirnon se likh raha hoon homework
lahron ki tarah jhilmila raha hai gyan ka jal
wad wiwad ke anant ghaton par
bana raha hoon dharti ka shilp
apne jiwan ke syllabus se khel raha hoon
meri kaksha mein mausmon ke sare rang utar rahe hain
barish mein tumhare sath bheeg raha hoon
sikuD raha hoon sardiyon ki hawaon mein
dhoop mein jhulas kar pipal ke niche baith gaya
tumhari kaksha mein har cheez subject hai
aur paDhne ke liye kitna kuch hai

स्रोत :
रचनाकार : रविंद्र स्वप्निल प्रजापति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.