पैदा नहीं हुए थे हम
सोने की चम्मच मुँह में लेकर,
विधाता ने पटका था
किसान के घर में ले-देकर।
माँ-बाप अपनी क़िस्मत को
दिन-रात कूटते-पीसते,
ज़रूरतों के पपड़ाए होंठों को
अपने पसीने से सींचते।
बस ग़नीमत थी
कि फ़ाक़ामस्ती से बचे थे हम,
चावल और गेहूँ न सही
मोटे अनाज से रचे थे हम।
मिठाइयाँ तो त्यौहार की तरह
इंतज़ार कराती थीं,
जिनके आने को गिन सकते थे उँगलियों पर हम
वे दूर की ऐसी बाराती थीं।
घर में उनकी आमद होती
हमेशा प्रसाद की शक्ल में,
बँटवारे की मात्रा बैठ गई थी
हमारी अक्ल में।
हम सभी भाई-बहन
अपना हिस्सा चट कर जाते
जितनी जल्दी संभव होता,
परंतु माँ का हिस्सा
चुहानी का बढ़ावन न हो
यह तो असंभव होता।
हम मँडराते रहते
उसके इर्द-गिर्द कि बढ़ावन भी बँट जाए,
और माँ की चिंता होती
इन सबमें यह किसी तरह अँट जाए।
जो उदार होता वह कोशिश करता
कि उसका हिस्सा माँ के होंठों से
एक बार सट जाए।
माँ का कैसा मन है
मैं हैरान होता,
दीदी का जवाब सुनकर
और परेशान होता।
गाँव की सभी माँएँ
यही किया करती हैं,
यहाँ तक कि भीख माँगने वाली
भगवतिया की माई भी
सारी अच्छी चीज़ें
भगवतिया को ही दिया करती है।
बड़े होकर भी हम
पहुँच नहीं पाए इस कहानी तक,
पिता होने के बाद भी पहुँचा नहीं सके
अपने हिस्से को चुहानी तक।
और तब पता चला
कि स्त्रियों के भीतर
इस रहस्यमय दुनिया का
होता कितना बड़ा ख़ज़ाना है,
ओह...
तो इस जीवन में बहुत कुछ
अनदेखा ही रह जाना है।
paida nahin hue the hum
sone ki chammach munh mein lekar,
widhata ne patka tha
kisan ke ghar mein le dekar
man bap apni qimat ko
din raat kutte piste,
zarurton ke papDaye honthon ko
apne pasine se sinchte
bus ghanimat thi
ki faqamasti se bache the hum,
chawal aur gehun na sahi
mote anaj se rache the hum
mithaiyan to tyauhar ki tarah
intzar karati theen,
jinke aane ko gin sakte the ungliyon par hum
we door ki aisi barati theen
ghar mein unki aamad hoti
hamesha parsad ki shakl mein,
bantware ki matra baith gai thi
hamari akl mein
hum sabhi bhai bahan
apna hissa chat kar jate
jitni jaldi sambhaw hota,
parantu man ka hissa
chuhani ka baDhawan na ho
ye to asambhaw hota
hum manDrate rahte
uske ird gird ki baDhawan bhi bant jaye,
aur man ki chinta hoti
in sabmen ye kisi tarah ant jaye
jo udar hota wo koshish karta
ki uska hissa man ke honthon se
ek bar sat jaye
man ka kaisa man hai
main hairan hota,
didi ka jawab sunkar
aur pareshan hota
ganw ki sabhi manen
yahi kiya karti hain,
yahan tak ki bheekh mangne wali
bhagawatiya ki mai bhi
sari achchhi chizen
bhagawatiya ko hi diya karti hai
baDe hokar bhi hum
pahunch nahin pae is kahani tak,
pita hone ke baad bhi pahuncha nahin sake
apne hisse ko chuhani tak
aur tab pata chala
ki striyon ke bhitar
is rahasyamay duniya ka
hota kitna baDa khazana hai,
oh
to is jiwan mein bahut kuch
andekha hi rah jana hai
paida nahin hue the hum
sone ki chammach munh mein lekar,
widhata ne patka tha
kisan ke ghar mein le dekar
man bap apni qimat ko
din raat kutte piste,
zarurton ke papDaye honthon ko
apne pasine se sinchte
bus ghanimat thi
ki faqamasti se bache the hum,
chawal aur gehun na sahi
mote anaj se rache the hum
mithaiyan to tyauhar ki tarah
intzar karati theen,
jinke aane ko gin sakte the ungliyon par hum
we door ki aisi barati theen
ghar mein unki aamad hoti
hamesha parsad ki shakl mein,
bantware ki matra baith gai thi
hamari akl mein
hum sabhi bhai bahan
apna hissa chat kar jate
jitni jaldi sambhaw hota,
parantu man ka hissa
chuhani ka baDhawan na ho
ye to asambhaw hota
hum manDrate rahte
uske ird gird ki baDhawan bhi bant jaye,
aur man ki chinta hoti
in sabmen ye kisi tarah ant jaye
jo udar hota wo koshish karta
ki uska hissa man ke honthon se
ek bar sat jaye
man ka kaisa man hai
main hairan hota,
didi ka jawab sunkar
aur pareshan hota
ganw ki sabhi manen
yahi kiya karti hain,
yahan tak ki bheekh mangne wali
bhagawatiya ki mai bhi
sari achchhi chizen
bhagawatiya ko hi diya karti hai
baDe hokar bhi hum
pahunch nahin pae is kahani tak,
pita hone ke baad bhi pahuncha nahin sake
apne hisse ko chuhani tak
aur tab pata chala
ki striyon ke bhitar
is rahasyamay duniya ka
hota kitna baDa khazana hai,
oh
to is jiwan mein bahut kuch
andekha hi rah jana hai
स्रोत :
रचनाकार : रामजी तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.