किशोरावस्था में सुना था
पहली बार नाम
मुग़ल सराय का
एक मुशायरे में
जब भोजपुरी-हिंदी के हास्य रस के
कवि बिसनाथ प्रसाद 'शैदा' ने सुनाई थी
अपनी एक कविता कि
शैदा नज़र की रौशनी
बढ़ती है चाय से
डुमराँव नज़र आएगा
मुगलसराय से
अब जब सरकार
बदलने जा रही है
इस नाम को
तो एक इतिहास-संस्कृति का
बहुरंगी अध्याय
दफ़न होने जा रहा है
यह एक कवि के द्वारा बरता गया
चाय और मुग़ल सराय के
तुक का मामला ही नहीं
यह महज़ एक शब्द की
सुनियोजित हत्या भर नहीं
एक संस्कृति की हत्या भी है
यह स्मृतियों पर गिराना है
कोलतार पिघला हुआ
अब हत्यारे सिर्फ़
किसी निर्दोष इंसान की
हत्या ही नहीं कराएँगे
भीड़ से
उन्माद पैदाकर
वे शब्दों को भी मारकर
दफ़नाने के पहले
उन पर कानूनी चादर का
ओढ़ा देंगे
सफ़ेद कफ़न
यह एक ऐसी शताब्दी है
भीषण रक्तपात की
जहाँ इंसान से भी ज़्यादा
लहूलुहान हो रहे
शब्द
मारी जा रहीं भाषाएँ
जिसे हासिल करने में
गुज़र जाती हैं
शताब्दियाँ!
kishoravastha mein suna tha
pahli baar naam
mughal saray ka
ek mushayre mein
jab bhojapuri hindi ke hasya ras ke
kavi bisnath parsad shaida ne sunai thi
apni ek kavita ki
shaida nazar ki raushani
baDhti hai chaay se
Dumranv nazar ayega
mugalasray se
ab jab sarkar
badalne ja rahi hai
is naam ko
to ek itihas sanskriti ka
bahurangi adhyay
dafan hone ja raha hai
ye ek kavi ke dvara barta gaya
chaay aur mughal saray ke
tuk ka mamla hi nahin
ye mahz ek shabd ki
suniyojit hatya bhar nahin
ek sanskriti ki hatya bhi hai
ye smritiyon par girana hai
koltar pighla hua
ab hatyare sirf
kisi nirdosh insaan ki
hatya hi nahin karayenge
bheeD se
unmaad paidakar
ve shabdon ko bhi markar
dafnane ke pahle
un par kanuni chadar ka
oDha denge
safed kafan
ye ek aisi shatabdi hai
bhishan raktpat ki
jahan insaan se bhi zyada
lahuluhan ho rahe
shabd
mari ja rahin bhashayen
jise hasil karne mein
guzar jati hain
shatabdiyan!
kishoravastha mein suna tha
pahli baar naam
mughal saray ka
ek mushayre mein
jab bhojapuri hindi ke hasya ras ke
kavi bisnath parsad shaida ne sunai thi
apni ek kavita ki
shaida nazar ki raushani
baDhti hai chaay se
Dumranv nazar ayega
mugalasray se
ab jab sarkar
badalne ja rahi hai
is naam ko
to ek itihas sanskriti ka
bahurangi adhyay
dafan hone ja raha hai
ye ek kavi ke dvara barta gaya
chaay aur mughal saray ke
tuk ka mamla hi nahin
ye mahz ek shabd ki
suniyojit hatya bhar nahin
ek sanskriti ki hatya bhi hai
ye smritiyon par girana hai
koltar pighla hua
ab hatyare sirf
kisi nirdosh insaan ki
hatya hi nahin karayenge
bheeD se
unmaad paidakar
ve shabdon ko bhi markar
dafnane ke pahle
un par kanuni chadar ka
oDha denge
safed kafan
ye ek aisi shatabdi hai
bhishan raktpat ki
jahan insaan se bhi zyada
lahuluhan ho rahe
shabd
mari ja rahin bhashayen
jise hasil karne mein
guzar jati hain
shatabdiyan!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.