दु:ख
मेरे जीवन में इस तरह उगा
जैसे दूध पीते बच्चे के मुँह में पहला दाँत
दु:ख किलकारियाँ मारता
विचरता है मेरे आँगन में
जैसे घुटनों के बल चलता बच्चा
दु:ख
मुझसे दुलरा रहा है
आना चाहता है मेरी गोद में
गोद में उसे उठाकर
अपने सीने से
क्यों नहीं लगा लेता मैं?
दु:ख मेरा आत्मज है
और सुख?
सुख भी मेरा ही आत्मज
दु:ख का जुड़वाँ भाई!
अपने सीने से लगाए रखता हूँ मैं
उसे हरदम
क्यों नहीं उतारता उसे अपनी गोद से
ताकि वह ज़मीन पर
ख़ुद अपने पाँवों चल सके
क्या मैं डरता हूँ कि
वह चलना सीखकर कहीं और चल देगा
वैसे भी
पैर-पैर नहीं चलने देने से
एक रोज़
क्या अपाहिज न हो जाएगा
वह
और क्या नहीं हो जाएगा भार?
duhakh
mere jiwan mein is tarah uga
jaise doodh pite bachche ke munh mein pahla dant
duhakh kilkariyan marta
wicharta hai mere angan mein
jaise ghutnon ke bal chalta bachcha
duhakh
mujhse dulra raha hai
ana chahta hai meri god mein
god mein use uthakar
apne sine se
kyon nahin laga leta main?
duhakh mera atmaj hai
aur sukh?
sukh bhi mera hi atmaj
duhakh ka juDwan bhai!
apne sine se lagaye rakhta hoon main
use hardam
kyon nahin utarta use apni god se
taki wo zamin par
khu apne panwon chal sake
kya main Darta hoon ki
wo chalna sikhkar kahin aur chal dega
waise bhi
pair pair nahin chalne dene se
ek roz
kya apahij na ho jayega
wo
aur kya nahin ho jayega bhaar?
duhakh
mere jiwan mein is tarah uga
jaise doodh pite bachche ke munh mein pahla dant
duhakh kilkariyan marta
wicharta hai mere angan mein
jaise ghutnon ke bal chalta bachcha
duhakh
mujhse dulra raha hai
ana chahta hai meri god mein
god mein use uthakar
apne sine se
kyon nahin laga leta main?
duhakh mera atmaj hai
aur sukh?
sukh bhi mera hi atmaj
duhakh ka juDwan bhai!
apne sine se lagaye rakhta hoon main
use hardam
kyon nahin utarta use apni god se
taki wo zamin par
khu apne panwon chal sake
kya main Darta hoon ki
wo chalna sikhkar kahin aur chal dega
waise bhi
pair pair nahin chalne dene se
ek roz
kya apahij na ho jayega
wo
aur kya nahin ho jayega bhaar?
स्रोत :
पुस्तक : तो (पृष्ठ 17)
रचनाकार : शैलेय
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.