शताब्दियों के भूखे हब्शी प्रेत डोलते हैं
नपुंसकों और क्लीवों के देश पर। पूरा
देश बदल जाता है केंचुओं में और निगलता है
मिट्टी।
मिट्टी के स्तूपों पर पड़े हैं
लड़कियों के शव
पर मुझे किसी हत्या का पाप नहीं लगेगा।
सभी रोती हुई आवाज़ों की खिल्ली उड़ाकर हँसती है
एक लड़की
और मसीहा बनने के लिए पूरे बदन पर
ठुकवा लेती है कीलें।
उधड़ी हुई चमड़ी
और बहते हुए रक्त से अभी भी रिसता है
प्यार।
अपना नाम लेकर चीख़ने वाली एक पागल लड़की
तहख़ानों और सुरंगों से उतर गई है चुपचाप
फड़फड़ाते चमगादड़ों को पकड़ने के लिए।
घबराकर सभी सुरंगों के मुँह बंद कर दिए हैं
मैंने
और
छटपटाने लगी हूँ।
shatabdiyon ke bhukhe habshi pret Dolte hain
napunskon aur kliwon ke desh par pura
desh badal jata hai kenchuon mein aur nigalta hai
mitti
mitti ke stupon par paDe hain
laDakiyon ke shau
par mujhe kisi hattya ka pap nahin lagega
sabhi roti hui awazon ki khilli uDakar hansti hai
ek laDki
aur masiha banne ke liye pure badan par
thukwa leti hai kilen
udhDi hui chamDi
aur bahte hue rakt se abhi bhi rista hai
pyar
apna nam lekar chikhne wali ek pagal laDki
tahkhanon aur surangon se utar gai hai chupchap
phaDphaDate chamgadDon ko pakaDne ke liye
ghabrakar sabhi surangon ke munh band kar diye hain
mainne
aur
chhataptane lagi hoon

स्रोत :
पुस्तक : महाभिनिष्क्रमण (पृष्ठ 15)
रचनाकार : मोना गुलाटी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.