सुख और दुख सिमटकर समा गए हैं
छोटे-छोटे क्षणों में
लेकिन यह ज़िंदगी
और बड़ी होती चली जाती है
इन सुबहों और शामों का हिसाब
कहीं नहीं
बेहिसाब ख़र्च होते हैं दिन
एक-एक लम्हे को मैंने पकड़ा था
तेज़, चौकन्नी निगाहों से
उसी वक़्त ने बाँट लिया है
बेदर्दी से मुझे
जीनी पड़ रही हैं
दो ज़िंदगियाँ साथ-साथ
छूकर चले जाते हैं
दृश्य, ख़ुशबुएँ और लोग
ख़ाली नहीं रहते हैं मेरे हाथ
पकड़ खो गई है मेरे हाथों की नहीं
मन की भी शायद
सन-सन-सन
बजता है कानों में
अजीब-सा सूनापन
बावजूद इतनी आवाज़ों के
कृपण हो गई है
वृत्ति भावों की
उठते नहीं हैं अब अनायास
गिनती के पल-छिन हैं
उनके ही कंधों पर
ये लंबे दिन हैं
बेहिसाब।
sukh aur dukh simatkar sama gaye hain
chhote chhote kshnon mein
lekin ye zindagi
aur baDi hoti chali jati hai
in subhon aur shamon ka hisab
kahin nahin
behisab kharch hote hain din
ek ek lamhe ko mainne pakDa tha
tez, chaukanni nigahon se
usi waqt ne bant liya hai
bedardi se mujhe
jini paD rahi hain
do zindagiyan sath sath
chhukar chale jate hain
drishya, khushbuen aur log
khali nahin rahte hain mere hath
pakaD kho gai hai mere hathon ki nahin
man ki bhi shayad
san san san
bajta hai kanon mein
ajib sa sunapan
bawjud itni awazon ke
kripan ho gai hai
writti bhawon ki
uthte nahin hain ab anayas
ginti ke pal chhin hain
unke hi kandhon par
ye lambe din hain
behisab
sukh aur dukh simatkar sama gaye hain
chhote chhote kshnon mein
lekin ye zindagi
aur baDi hoti chali jati hai
in subhon aur shamon ka hisab
kahin nahin
behisab kharch hote hain din
ek ek lamhe ko mainne pakDa tha
tez, chaukanni nigahon se
usi waqt ne bant liya hai
bedardi se mujhe
jini paD rahi hain
do zindagiyan sath sath
chhukar chale jate hain
drishya, khushbuen aur log
khali nahin rahte hain mere hath
pakaD kho gai hai mere hathon ki nahin
man ki bhi shayad
san san san
bajta hai kanon mein
ajib sa sunapan
bawjud itni awazon ke
kripan ho gai hai
writti bhawon ki
uthte nahin hain ab anayas
ginti ke pal chhin hain
unke hi kandhon par
ye lambe din hain
behisab
स्रोत :
पुस्तक : समग्र कविताएँ (पृष्ठ 194)
रचनाकार : कीर्ति चौधरी
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.