हरे कदंब का पत्ता
पता नहीं क्यों
समय आने से पहले
झड़ जाता है,
फिर भी उनके पीले पत्ते
डालियों पर खेलते हैं हवा में!
उस पत्ते को उठाकर
दादा जी लाकर रख देते हैं तुम्हारे टेबल पर
दूसरे दिन सुबह
उस पत्ते में दिखाई देता है हल्का-हल्का पीलापन
हरे पीले के मेल से पत्ता
दिखता है सुंदर!
और एक दिन बाद
हरा रंग कहीं उड़ जाता है
सिर्फ़ रह जाता है पीलापन
क्या है यह वही पत्ता!
तुम चकित हो जाते हो
फिर एक दिन बाद
कुछ धूसर रंग के बिंदु दिखने लगते हैं
पीले रंग पर धीरे-धीरे
पीलेपन को ख़त्म करते हुए
धूसर रंग क्रमश: काला होकर
पूरे पत्ते पर छा जाता है!
दिन-ब-दिन पीले पत्ते के बदलते रूप का चित्र
दोनों चित्रित करते हैं अपने नौसिखिए हाथों से
एक दिन लाए उस पत्ते को टेबल से
फेंक देते हैं दादा जी, बाहर मरा समझकर
लेकिन बचे रह जाते हैं कॉपी में उसके रंगीन स्केच।
hare kadamb ka patta
pata nahin kyon
samay aane se pahle
jhaD jata hai,
phir bhi unke pile patte
Daliyon par khelte hain hawa mein!
us patte ko uthakar
dada ji lakar rakh dete hain tumhare table par
dusre din subah
us patte mein dikhai deta hai halka halka pilapan
hare pile ke mel se patta
dikhta hai sundar!
aur ek din baad
hara rang kahin uD jata hai
sirf rah jata hai pilapan
kya hai ye wahi patta!
tum chakit ho jate ho
phir ek din baad
kuch dhusar rang ke bindu dikhne lagte hain
pile rang par dhire dhire
pilepan ko khatm karte hue
dhusar rang kramshah kala hokar
pure patte par chha jata hai!
din ba din pile patte ke badalte roop ka chitr
donon chitrit karte hain apne nausikhiye hathon se
ek din laye us patte ko table se
phenk dete hain dada ji, bahar mara samajhkar
lekin bache rah jate hain copy mein uske rangin sketch
hare kadamb ka patta
pata nahin kyon
samay aane se pahle
jhaD jata hai,
phir bhi unke pile patte
Daliyon par khelte hain hawa mein!
us patte ko uthakar
dada ji lakar rakh dete hain tumhare table par
dusre din subah
us patte mein dikhai deta hai halka halka pilapan
hare pile ke mel se patta
dikhta hai sundar!
aur ek din baad
hara rang kahin uD jata hai
sirf rah jata hai pilapan
kya hai ye wahi patta!
tum chakit ho jate ho
phir ek din baad
kuch dhusar rang ke bindu dikhne lagte hain
pile rang par dhire dhire
pilepan ko khatm karte hue
dhusar rang kramshah kala hokar
pure patte par chha jata hai!
din ba din pile patte ke badalte roop ka chitr
donon chitrit karte hain apne nausikhiye hathon se
ek din laye us patte ko table se
phenk dete hain dada ji, bahar mara samajhkar
lekin bache rah jate hain copy mein uske rangin sketch
स्रोत :
पुस्तक : ओडिया भाषा की प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 161)
रचनाकार : सीताकांत महापात्र
प्रकाशन : यश पब्लिकेशंस
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.