कितना ही खेद लो
कुत्ता
फिर घुस आता है
चौकस—
पूँछ हिलाता।
दिन
रोज़ चला आता है
ऐसे ही।
दिन
महज़ थूक के लिए
चाट सकता है
दिहाड़ी भर पाँव।
उसे नहीं मालूम
ख़ुद दाता भी
अपने खाने के दाँत
गिरवी रख चुका है।
दिन का अश्वासन है
कि वह स्वामिभक्त है।
लेकिन दिन
सवेरा
क्यों नहीं जगाता?
दिन
आँगन में
चहकने को तरसती
चिड़िया का
दोस्त क्यों नहीं बनता?
दिन
बुझी पंखुरी के
मासूम गालों पर
पहली किरण की
चोट क्यों नहीं करता?
यह भी कोई सलीक़ा है
रोज़ चला आता है
गली के कुत्ते-सा।
आना है
तो दिन, दिन की तरह आए।
जैसे आती है नींद
जैसे आती है थकान
जैसे आती है मौत।
यूँ गिड़गिड़ाकर बेचकर ज़मीर
दिन
कब तक रहेगा ज़िंदा?
अँधेरी छायाओं के
ख़ून सने जबड़ों में
खपता हुआ सूरज
कौन जाने
सबूत हो
दिन की तबाही का!
यूँ मरता तो
आदमी भी है
लेकिन
कुत्ते की मौत
भला कौन चाहता है मरना!
kitna hi khed lo
kutta
phir ghus aata hai
chaukas—
poonchh hilata
din
roz chala aata hai
aise hi
din
mahz thook ke liye
chat sakta hai
dihaDi bhar panw
use nahin malum
khu data bhi
apne khane ke dant
girwi rakh chuka hai
din ka ashwasan hai
ki wo swamibhakt hai
lekin din
sawera
kyon nahin jagata?
din
angan mein
chahakne ko tarasti
chiDiya ka
dost kyon nahin banta?
din
bujhi pankhuri ke
masum galon par
pahli kiran ki
chot kyon nahin karta?
ye bhi koi saliqa hai
roz chala aata hai
gali ke kutte sa
ana hai
to din, din ki tarah aaye
jaise aati hai neend
jaise aati hai thakan
jaise aati hai maut
yoon giDagiDakar bechkar zamir
din
kab tak rahega zinda?
andheri chhayaon ke
khoon sane jabDon mein
khapta hua suraj
kaun jane
sabut ho
din ki tabahi ka!
yoon marta to
adami bhi hai
lekin
kutte ki maut
bhala kaun chahta hai marna!
kitna hi khed lo
kutta
phir ghus aata hai
chaukas—
poonchh hilata
din
roz chala aata hai
aise hi
din
mahz thook ke liye
chat sakta hai
dihaDi bhar panw
use nahin malum
khu data bhi
apne khane ke dant
girwi rakh chuka hai
din ka ashwasan hai
ki wo swamibhakt hai
lekin din
sawera
kyon nahin jagata?
din
angan mein
chahakne ko tarasti
chiDiya ka
dost kyon nahin banta?
din
bujhi pankhuri ke
masum galon par
pahli kiran ki
chot kyon nahin karta?
ye bhi koi saliqa hai
roz chala aata hai
gali ke kutte sa
ana hai
to din, din ki tarah aaye
jaise aati hai neend
jaise aati hai thakan
jaise aati hai maut
yoon giDagiDakar bechkar zamir
din
kab tak rahega zinda?
andheri chhayaon ke
khoon sane jabDon mein
khapta hua suraj
kaun jane
sabut ho
din ki tabahi ka!
yoon marta to
adami bhi hai
lekin
kutte ki maut
bhala kaun chahta hai marna!
स्रोत :
पुस्तक : निषेध के बाद (पृष्ठ 137)
संपादक : दिविक रमेश
रचनाकार : दिविक रमेश
प्रकाशन : विक्रांत प्रेस
संस्करण : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.