जिस पर टिकी घड़ी की सुइयाँ
उसके चारों ओर सरपट दौड़ते हुए
कई पूर्ण कोण बनाती हैं
लेकिन जिसके हिस्से समय का
एक न्यूनतम कोण भी नहीं
रसोईघर के सामने लगी दीवार घड़ी के
ठीक बीचोंबीच स्थित
वह कील हूँ मैं
मैं भागते हुए समय का पिछड़ा
और छूटा हुआ वह सिरा हूँ
जिसे विगत जीभ चिढ़ाता है
और आगत डराता है
जिसे न तो आगे बढ़ने की चाहत है
और न ही पीछे लौटने की सहूलत
ज़िंदगी के साइड इफ़ेक्ट्स
सुरसा की तरह मुँह फैलाए जाते हैं
और मुझे हनुमान की तरह
स्वयं को संक्षिप्त कर बच निकलने की कला भी नहीं आती
उसने कहा था—मुझे भूल जाओ
यह बात रोज़ याद आती है
क्या भूलना है यह याद रहता है
क्या याद रखना है याद नहीं
दिमाग़ की मकड़ी अपने ही जाल में फँसी कुलबुलाती है
‘आख़िरी बार क्या अच्छा लगा था…?’
मैं कहती हूँ—
‘…याद नहीं, शायद समंदर
बिल्कुल अपने जैसा…
खारा और नीरस, जीवन से उकताया हुआ…’
वे कहते हैं—
‘समंदर उल्लास है और जीवन वरदान…’
सुनकर मन की मटकी से ऊब छलक जाती है
सुनो! रात के सन्नाटे में मेरे सीने से आती आवाज़ सुनना
दीमक के कुतरने की आवाज़
ऊब दीमक है और मेरा जिस्म लकड़ी का ढाँचा
तुम देख सकते हो इस ढाँचे को मिट्टी होते हुए?
मेरी मिट्टी को समंदर के हवाले करना
मुझे यक़ीन है इस बार वह मुझे नहीं ठुकराएगा।
jis par tiki ghaDi ki suiyan
uske charon or sarpat dauDte hue
kai poorn kon banati hain
lekin jiske hisse samay ka
ek nyunatam kon bhi nahin
rasoighar ke samne lagi diwar ghaDi ke
theek bichombich sthit
wo keel hoon main
main bhagte hue samay ka pichhDa
aur chhuta hua wo sira hoon
jise wigat jeebh chiDhata hai
aur aagat Darata hai
jise na to aage baDhne ki chahat hai
aur na hi pichhe lautne ki sahulat
zindagi ke saiD effects
sursa ki tarah munh phailaye jate hain
aur mujhe hanuman ki tarah
swayan ko sankshipt kar bach nikalne ki kala bhi nahin aati
usne kaha tha—mujhe bhool jao
ye baat roz yaad aati hai
kya bhulna hai ye yaad rahta hai
kya yaad rakhna hai yaad nahin
dimagh ki makDi apne hi jal mein phansi kulbulati hai
‘akhiri bar kya achchha laga tha…?’
main kahti hoon—
‘…yaad nahin, shayad samandar
bilkul apne jaisa…
khara aur niras, jiwan se uktaya hua…’
we kahte hain—
‘samandar ullas hai aur jiwan wardan…’
sunkar man ki matki se ub chhalak jati hai
suno! raat ke sannate mein mere sine se aati awaz sunna
dimak ke kutarne ki awaz
ub dimak hai aur mera jism lakDi ka Dhancha
tum dekh sakte ho is Dhanche ko mitti hote hue?
meri mitti ko samandar ke hawale karna
mujhe yaqin hai is bar wo mujhe nahin thukrayega
jis par tiki ghaDi ki suiyan
uske charon or sarpat dauDte hue
kai poorn kon banati hain
lekin jiske hisse samay ka
ek nyunatam kon bhi nahin
rasoighar ke samne lagi diwar ghaDi ke
theek bichombich sthit
wo keel hoon main
main bhagte hue samay ka pichhDa
aur chhuta hua wo sira hoon
jise wigat jeebh chiDhata hai
aur aagat Darata hai
jise na to aage baDhne ki chahat hai
aur na hi pichhe lautne ki sahulat
zindagi ke saiD effects
sursa ki tarah munh phailaye jate hain
aur mujhe hanuman ki tarah
swayan ko sankshipt kar bach nikalne ki kala bhi nahin aati
usne kaha tha—mujhe bhool jao
ye baat roz yaad aati hai
kya bhulna hai ye yaad rahta hai
kya yaad rakhna hai yaad nahin
dimagh ki makDi apne hi jal mein phansi kulbulati hai
‘akhiri bar kya achchha laga tha…?’
main kahti hoon—
‘…yaad nahin, shayad samandar
bilkul apne jaisa…
khara aur niras, jiwan se uktaya hua…’
we kahte hain—
‘samandar ullas hai aur jiwan wardan…’
sunkar man ki matki se ub chhalak jati hai
suno! raat ke sannate mein mere sine se aati awaz sunna
dimak ke kutarne ki awaz
ub dimak hai aur mera jism lakDi ka Dhancha
tum dekh sakte ho is Dhanche ko mitti hote hue?
meri mitti ko samandar ke hawale karna
mujhe yaqin hai is bar wo mujhe nahin thukrayega
स्रोत :
रचनाकार : पायल भारद्वाज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.