आजकल मेरे लिए
शाम की धूप
इस तरह खड़ी रहती है
जैसे कोई बीमार बच्ची
जीवन-रक्षक दवाइयों की इंतज़ार में हो।
धूप
जिसने पचास बरस पहले मेरे पाँव चूमे थे
और निरंतर अब भी चूमती आ रही है।
लोगों के लिए पचास बरस
एक लंबा अरसा होगा
लेकिन मेरे लिए तो कल की बात है।
यह धूप मेरे साथ वजीराबाद में थी
रावलपिंडी, लुधियाना, जालंधर, दिल्ली
और फिर चंडीगढ़!
यह धूप अब भी बहुत खिलंदड़ी है
जबकि वह इस शताब्दी की तरह ढल रही है
और लगातार प्रश्न करती रहती है।
उसकी प्रश्न-भरी चिंता है—
'एक काला सूरज बनने से पहले
वह अपनी आख़िरी किरण
कहाँ पर बिताएगी
या ख़ुद ही एक नया सूरज बन जाएगी
या किसी और ब्रह्माँड में चली जाएगी'
लेकिन इस धूप को कौन समझाए—
वह एक ऐसे सौर परिवार में रहती है
जहाँ एक किरण के सो जाने का अर्थ
काला सूरज बनना नहीं होता
धूप का ढलना तो उसका धर्म है
और अनंत किरणों को जन्म देना
सूरज का कर्म है।
ajkal mere liye
shaam ki dhoop
is tarah khaDi rahti hai
jaise koi bimar bachchi
jivan rakshak davaiyon ki intzaar mein ho.
dhoop
jisne pachas baras pahle mere paanv chume the
aur nirantar ab bhi chumti aa rahi hai.
logon ke liye pachas baras
ek lamba arsa hoga
lekin mere liye to kal ki baat hai.
ye dhoop mere saath vajirabad mein thi
ravalpinDi, ludhiyana, jalandhar, dilli
aur phir chanDigaDh!
ye dhoop ab bhi bahut khilandDi hai
jabki wo is shatabdi ki tarah Dhal rahi hai
aur lagatar parashn karti rahti hai.
uski parashn bhari chinta hai—
ek kala suraj banne se pahle
wo apni akhiri kiran
kahan par bitayegi
ya khud hi ek naya suraj ban jayegi
ya kisi aur brahmanD mein chali jayegi
lekin is dhoop ko kaun samjhaye—
wo ek aise saur parivar mein rahti hai
jahan ek kiran ke so jane ka arth
kala suraj banna nahin hota
dhoop ka Dhalna to uska dharm hai
aur anant kirnon ko janm dena
suraj ka karm hai.
ajkal mere liye
shaam ki dhoop
is tarah khaDi rahti hai
jaise koi bimar bachchi
jivan rakshak davaiyon ki intzaar mein ho.
dhoop
jisne pachas baras pahle mere paanv chume the
aur nirantar ab bhi chumti aa rahi hai.
logon ke liye pachas baras
ek lamba arsa hoga
lekin mere liye to kal ki baat hai.
ye dhoop mere saath vajirabad mein thi
ravalpinDi, ludhiyana, jalandhar, dilli
aur phir chanDigaDh!
ye dhoop ab bhi bahut khilandDi hai
jabki wo is shatabdi ki tarah Dhal rahi hai
aur lagatar parashn karti rahti hai.
uski parashn bhari chinta hai—
ek kala suraj banne se pahle
wo apni akhiri kiran
kahan par bitayegi
ya khud hi ek naya suraj ban jayegi
ya kisi aur brahmanD mein chali jayegi
lekin is dhoop ko kaun samjhaye—
wo ek aise saur parivar mein rahti hai
jahan ek kiran ke so jane ka arth
kala suraj banna nahin hota
dhoop ka Dhalna to uska dharm hai
aur anant kirnon ko janm dena
suraj ka karm hai.
स्रोत :
पुस्तक : संपूर्ण कविताएँ (पृष्ठ 233)
रचनाकार : कुमार विकल
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.