धर्मयुद्ध में
जब ख़त्म हो जाता है युद्ध,
तो भी युद्ध ख़त्म नहीं होता है।
युद्ध के बाद भी
दरअसल
जो बचा होता है,
वह धर्म नहीं...,
युद्ध ही होता है।
युद्ध,
जो होता है अधिक दुर्धर्ष,
अधिक लोमहर्षक,
लड़ा जाता है
श्वेत के पार्श्व में,
आपस में ही
नए शत्रुओं को ढूँढते हुए,
स्वयं को बेहतर
दूसरों को कमतर
बताते हुए।
युद्ध जारी रहेगा
धर्म की अँधेरी गुफ़ा में
आख़िरी आदमी के बच जाने तक।
आख़िरी आदमी आख़िरकार
स्वयं से ही लड़ता हुआ
एक दिन
मारा जाएगा
स्वयं के ही हाथों,
धर्म के रास्ते पर नहीं चलने की ग्लानि में
धर्म ध्वजा को सीने में उतारकर।
धर्मयुद्ध में कभी कोई विजयी नहीं होगा।
dharmyuddh mein
jab khatm ho jata hai yuddh,
to bhi yuddh khatm nahin hota hai.
yuddh ke baad bhi
darasal
jo bacha hota hai,
wo dharm nahin. . .,
yuddh hi hota hai.
yuddh,
jo hota hai adhik durdharsh,
adhik lomaharshak,
laDa jata hai
shvet ke paarshv mein,
aapas mein hi
ne shatruon ko DhunDhte hue,
svayan ko behtar
dusron ko kamtar
batate hue.
yuddh jari rahega
dharm ki andheri gufa mein
akhiri adami ke bach jane tak.
akhiri adami akhirkar
svayan se hi laDta hua
ek din
mara jayega
svayan ke hi hathon,
dharm ke raste par nahin chalne ki glani mein
dharm dhvaja ko sine mein utarkar.
dharmyuddh mein kabhi koi vijyi nahin hoga.
dharmyuddh mein
jab khatm ho jata hai yuddh,
to bhi yuddh khatm nahin hota hai.
yuddh ke baad bhi
darasal
jo bacha hota hai,
wo dharm nahin. . .,
yuddh hi hota hai.
yuddh,
jo hota hai adhik durdharsh,
adhik lomaharshak,
laDa jata hai
shvet ke paarshv mein,
aapas mein hi
ne shatruon ko DhunDhte hue,
svayan ko behtar
dusron ko kamtar
batate hue.
yuddh jari rahega
dharm ki andheri gufa mein
akhiri adami ke bach jane tak.
akhiri adami akhirkar
svayan se hi laDta hua
ek din
mara jayega
svayan ke hi hathon,
dharm ke raste par nahin chalne ki glani mein
dharm dhvaja ko sine mein utarkar.
dharmyuddh mein kabhi koi vijyi nahin hoga.
स्रोत :
रचनाकार : नीरज नीर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.