स्थापित है मेरे हृदय में वर्षों से जिस युवती की प्रतिमा
ढहाया इसे अगर
तो क्या मैं उजड़ जाऊँगा
निस्तेज हो जाएगा मस्त-मलंगों-सा चलने का मेरा शिल्प
टूट पड़ेगा मुझ पर प्रेम-कथाओं के महानायकों का क़हर
और तेज़ हो जाएगी मेरे कानों में एक चीख़ की अनुगूँज
अंगारों-सा दहकेंगी आँखें
छिड़ सकता है मेरे मस्तिष्क और हृदय में कोई भीषण युद्ध
अब जबकि स्पष्ट है
था नहीं उसे मु़झसे सच्चा प्रेम
जवानी के रोमानी अंधड़ में बहा मैं
संतुलित पर उसके क़दम
फिर भी न जाने क्यों लगता है
स्थापित है मेरे हदय में वर्षों से जिस युवती की प्रतिमा
ढहाया इसे अगर तो क्या मैं बर्बाद हो जाऊँगा
क्या उजाले से लगने लगेगा डर
भीड़ भरी बस में बैठूँगा और चलते ही कूद पडूँगा बाहर
अतीत के कूड़े से बाहर निकलकर
रेंगेंगे रातों में मेरे निद्रामग्न जिस्म पर कीड़ों-सा प्रेमपत्र
सूखकर कंठ से चिपक जाएगा तालू
हाथ काँपेंगे और आँखों में वहशीपन
अर्द्धविक्षिप्त भिखारी-सा कातरता से देखूँगा आने-जाने वालों को
माँगता कोई अफ़ीमची मानो उसकी छुड़ाई गई ख़ुराक
वर्षों से रह रहा हूँ
प्रेम के महान स्मारकों के खंडहर में चमगादड़-सा
कितना तो समय गुज़र गया ज़िद और मुग़ालते की एक म्यान में
ज़ंग खाई तलवार-सा रहते हुए
अब मेरा भी घर हो
और हाड़-मांस की सचमुच की एक स़्त्री
थर्रा उठता पर सोचकर
स्थापित है मेरे हृदय में वर्षों से जिस स्त्री की प्रतिमा
ढहाया इसे अगर
तो क्या फट पड़ेगा मेरे ऊपर स्मृतियों का कोई बादल
जाग जाएगा पैरों के नीचे दबा कोई सुप्त ज्वालामुखी
किसी लस्त जटिल शाम सैर के वक़्त
लेकर तो नहीं चली जाएगी कोई जादूगरनी मेरी उँगली पकड़कर
हमेशा-हमेशा के लिए
यह भी हो सकता है
मुक्त हो जाए मेरी आत्मा दुनिया के सबसे हसीन कोढ़ से।
sthapit hai mere hirdai mein warshon se jis yuwati ki pratima
Dhahaya ise agar
to kya main ujaD jaunga
nistej ho jayega mast malangon sa chalne ka mera shilp
toot paDega mujh par prem kathaon ke mahanaykon ka qahr
aur tez ho jayegi mere kanon mein ek cheekh ki anugunj
angaron sa dahkengi ankhen
chhiD sakta hai mere mastishk aur hirdai mein koi bhishan yudh
ab jabki aspasht hai
tha nahin use mujhse sachcha prem
jawani ke romani andhaD mein baha main
santulit par uske qadam
phir bhi na jane kyon lagta hai
sthapit hai mere haday mein warshon se jis yuwati ki pratima
Dhahaya ise agar to kya main barbad ho jaunga
kya ujale se lagne lagega Dar
bheeD bhari bus mein baithunga aur chalte hi kood paDunga bahar
atit ke kuDe se bahar nikalkar
rengenge raton mein mere nidramagn jism par kiDon sa prempatr
sukhkar kanth se chipak jayega talu
hath kanpenge aur ankhon mein wahshipan
arddhwikshipt bhikhari sa katarta se dekhunga aane jane walon ko
mangta koi afimchi mano uski chhuDai gai khurak
warshon se rah raha hoon
prem ke mahan smarkon ke khanDhar mein chamgadaD sa
kitna to samay guzar gaya zid aur mughalte ki ek myan mein
zang khai talwar sa rahte hue
ab mera bhi ghar ho
aur haD mans ki sachmuch ki ek stri
tharra uthta par sochkar
sthapit hai mere hirdai mein warshon se jis istri ki pratima
Dhahaya ise agar
to kya phat paDega mere upar smritiyon ka koi badal
jag jayega pairon ke niche daba koi supt jwalamukhi
kisi last jatil sham sair ke waqt
lekar to nahin chali jayegi koi jadugarni meri ungli pakaDkar
hamesha hamesha ke liye
ye bhi ho sakta hai
mukt ho jaye meri aatma duniya ke sabse hasin koDh se

स्रोत :
रचनाकार : मोहन कुमार डहेरिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.