जो भी कुछ चाहूँगी माँग लूँगी
और तुम कहोगे—‘तथास्तु’
सामान्य याचना से अलग है
मेरा मान-मनौअल फिर भी
क्या माँगूँ आख़िर
कुबेर का भंडार
इंद्र का सिंहासन
लक्ष्मी का रूप-लावण्य
वाग्देवी के सार्थक वचन—
है ही क्या मेरा
क्या मेरा ही सब-कुछ है?
सालवन में कच्चे सोने-सी बसंत ऋतु
अंतरिक्ष के बीच तारे के पेट में अंजुरी भर पानी
घास के मैदान में अधीर झींगुर
हा-हा भूख की मुट्ठी में
कनकी भर अन्न
आख़िर क्या चाहिए?
नामर्द का इंगित चाकू
फाड़ डालता है साड़ी किसी की भी
अकाल वज्रपात में हो जाते हैं भस्म आँसू किसी के
ढह जाते हैं रास्ते सारे
किस ग्रह-नक्षत्र की ताली से
ख़ून की हर बूँद से जन्म लेता है एक-एक दानव
काश गढ़ सकती मैं कुछ प्रतिकार
वनस्पति की लंबी साँस छूकर
ढूँढ़ ला सकती है आकाश-माटी के
स्नेह बंधन की डोर,
उच्चारित कर सकती है
शब्द-अशब्द का ओंकार?
दे सकते हो तो दे दो—
सबसे शक्तिशाली अस्त्र—अपना
तेज़-वीर्य, शुभकामनाओं भरे बाण और भाले
हल्की कर दूँगी मैं पृथ्वी
संहार करूँगी महिषासुर।
jo bhi kuch chahungi mang lungi
aur tum kahoge—‘tathastu’
samany yachana se alag hai
mera man manaual phir bhi
kya mangun akhir
kuber ka bhanDar
indr ka sinhasan
lakshmi ka roop lawanya
wagdewi ke sarthak wachan—
hai hi kya mera
kya mera hi sab kuch hai?
salwan mein kachche sone si basant ritu
antriksh ke beech tare ke pet mein anjuri bhar pani
ghas ke maidan mein adhir jhingur
ha ha bhookh ki mutthi mein
kanki bhar ann
akhir kya chahiye?
namard ka ingit chaku
phaD Dalta hai saDi kisi ki bhi
akal wajrapat mein ho jate hain bhasm ansu kisi ke
Dah jate hain raste sare
kis grah nakshatr ki tali se
khoon ki har boond se janm leta hai ek ek danaw
kash gaDh sakti main kuch pratikar
wanaspati ki lambi sans chhukar
DhoonDh la sakti hai akash mati ke
sneh bandhan ki Dor,
uchcharit kar sakti hai
shabd ashabd ka onkar?
de sakte ho to de do—
sabse shaktishali astra—apna
tez weery, shubhkamnaon bhare ban aur bhale
halki kar dungi main prithwi
sanhar karungi mahishasur
jo bhi kuch chahungi mang lungi
aur tum kahoge—‘tathastu’
samany yachana se alag hai
mera man manaual phir bhi
kya mangun akhir
kuber ka bhanDar
indr ka sinhasan
lakshmi ka roop lawanya
wagdewi ke sarthak wachan—
hai hi kya mera
kya mera hi sab kuch hai?
salwan mein kachche sone si basant ritu
antriksh ke beech tare ke pet mein anjuri bhar pani
ghas ke maidan mein adhir jhingur
ha ha bhookh ki mutthi mein
kanki bhar ann
akhir kya chahiye?
namard ka ingit chaku
phaD Dalta hai saDi kisi ki bhi
akal wajrapat mein ho jate hain bhasm ansu kisi ke
Dah jate hain raste sare
kis grah nakshatr ki tali se
khoon ki har boond se janm leta hai ek ek danaw
kash gaDh sakti main kuch pratikar
wanaspati ki lambi sans chhukar
DhoonDh la sakti hai akash mati ke
sneh bandhan ki Dor,
uchcharit kar sakti hai
shabd ashabd ka onkar?
de sakte ho to de do—
sabse shaktishali astra—apna
tez weery, shubhkamnaon bhare ban aur bhale
halki kar dungi main prithwi
sanhar karungi mahishasur
स्रोत :
पुस्तक : आधा-आधा नक्षत्र (पृष्ठ 92)
रचनाकार : प्रतिभा शतपथी
प्रकाशन : मेघा बुक्स
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.