हम हो सकते थे पेड़ और पहाड़
और एक दूसरे में समाई
हमारी जड़ें
हमसे भी अधिक
आलिंगनबद्ध रहती
हम हो सकते थे नदी और झरना
जहाँ एक का अंत
दूसरे के आदि को उत्पन्न करता
या रात और तारे
जिसमें एक का अंधकार
दूसरे के प्रकाश हेतु द्वार खोलता
हम हो सकते थे बादल और बारिश
जहाँ एक के पिघलने से
दूसरा बह निकलता
हम सूर्य और दिन भी हो सकते थे
जहाँ एक के उगने से
दूसरा स्वयं उग जाता
या समुद्र और धरती
जिसमें एक के ऊपर
दूसरे के लहराने की
अपार संभावनाएँ होतीं
हम हो सकते थे वसंत और फूल
जहाँ एक के खिलने से
दूसरे के आ जाने का एहसास होता
हम हो सकते थे
हवा और सुगंध
जहाँ एक चलने से
दूसरे को गति मिलती
सोचो क्या नहीं हो सकते थे हम
सिवाय दो देह भर होने के
जिसमें एक स्त्री
और दूसरी पुरुष की थी...
hum ho sakte the peD aur pahaD
aur ek dusre mein samai
hamari jaDen
hamse bhi adhik
alinganbaddh rahti
hum ho sakte the nadi aur jharna
jahan ek ka ant
dusre ke aadi ko utpann karta
ya raat aur tare
jismen ek ka andhkar
dusre ke parkash hetu dwar kholta
hum ho sakte the badal aur barish
jahan ek ke pighalne se
dusra bah nikalta
hum surya aur din bhi ho sakte the
jahan ek ke ugne se
dusra swayan ug jata
ya samudr aur dharti
jismen ek ke upar
dusre ke lahrane ki
apar sambhawnayen hotin
hum ho sakte the wasant aur phool
jahan ek ke khilne se
dusre ke aa jane ka ehsas hota
hum ho sakte the
hawa aur sugandh
jahan ek chalne se
dusre ko gati milti
socho kya nahin ho sakte the hum
siway do deh bhar hone ke
jismen ek istri
aur dusri purush ki thi
hum ho sakte the peD aur pahaD
aur ek dusre mein samai
hamari jaDen
hamse bhi adhik
alinganbaddh rahti
hum ho sakte the nadi aur jharna
jahan ek ka ant
dusre ke aadi ko utpann karta
ya raat aur tare
jismen ek ka andhkar
dusre ke parkash hetu dwar kholta
hum ho sakte the badal aur barish
jahan ek ke pighalne se
dusra bah nikalta
hum surya aur din bhi ho sakte the
jahan ek ke ugne se
dusra swayan ug jata
ya samudr aur dharti
jismen ek ke upar
dusre ke lahrane ki
apar sambhawnayen hotin
hum ho sakte the wasant aur phool
jahan ek ke khilne se
dusre ke aa jane ka ehsas hota
hum ho sakte the
hawa aur sugandh
jahan ek chalne se
dusre ko gati milti
socho kya nahin ho sakte the hum
siway do deh bhar hone ke
jismen ek istri
aur dusri purush ki thi
स्रोत :
रचनाकार : स्वाति मेलकानी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.