रातें उदास और ठहरी हुई हैं
विषण्ण सुबह
सूरज उगता है
आधा डूबा हुआ
हवाएँ शोक ग्रस्त हैं
बलदेव बेसरा की थकी हुई आँखों में
छाया है अँधेरा
दैत्याकार चिमनियों से निकलता
विषैला काला धुआँ
जहर बनकर घुस रहा है
नथुनों में
पत्तियों पर फैली है
काली धूल
वृक्ष हाँफ रहे हैं
वह भर देना चाहता है
उस बरगद के पेड़ में
अपनी साँसे
जिसे लगाया था
उसके पुरखों में से किसी एक ने
पर वह ख़ुद बेदम है
धान के खेतों में
पसरी हुई है
कोयले की छाई
दावा है चारों तरफ़
बिजली की चमकदार रौशनी
फैलाने का
लग रहा है बिजली घर
पर उसके जीवन में फैल रहा है अँधेरा
बरगद की जड़े ताक़ रही हैं
आसमान को
पंछी उड़ चुके हैं
किसी दूर देश को
नए ठौर की तलाश में
पर तालाब की मछलियाँ
नहीं ले पा रही हैं साँसे
वे मर कर उपला गई है
पानी की सतह पर
वह भी चाहता है
पंछियों की तरह चले जाना
लाल माटी से कहीं दूर
जहाँ वह ले सके
छाती भर कर साँस,
जहाँ गीत गाते हुए
उसकी औरतें रोप सके धान,
जहाँ मेड़ों पर घूमते हुए
रोप सके
अपनी आत्मा में
हरियाली की जड़ें
पर मछलियों के पंख नहीं होते
वह साँस भी नहीं ले पा रहा
उसकी आत्मा छटपटा रही है
वह भी तालाब की मछलियों की तरह
मरकर उपला जाएगा
और विस्मृत हो जाएगा
अस्तित्वहीन होकर
मछलियाँ पानी के बाहर
पलायन नहीं कर सकती हैं
अँधेरे में जूझती मछलियों का अंत
निश्चित है
raten udaas aur thahri hui hain
vishann subah
suraj ugta hai
aadha Duba hua
havayen shok grast hain
baldev besra ki thaki hui ankhon mein
chhaya hai andhera
daityakar chimaniyon se nikalta
vishaila kala dhuan
jahar bankar ghus raha hai
nathunon mein
pattiyon par phaili hai
kali dhool
vriksh haanph rahe hain
wo bhar dena chahta hai
us bargad ke peD mein
apni sanse
jise lagaya tha
uske purkhon mein se kisi ek ne
par wo khud bedam hai
dhaan ke kheton mein
pasri hui hai
koyle ki chhai
dava hai charon taraf
bijli ki chamakdar raushani
phailane ka
lag raha hai bijli ghar
par uske jivan mein phail raha hai andhera
bargad ki jaDe taaq rahi hain
asman ko
panchhi uD chuke hain
kisi door desh ko
ne thaur ki talash mein
par talab ki machhliyan
nahin le pa rahi hain sanse
ve mar kar upla gai hai
pani ki satah par
wo bhi chahta hai
panchhiyon ki tarah chale jana
laal mati se kahin door
jahan wo le sake
chhati bhar kar saans,
jahan geet gate hue
uski aurten rop sake dhaan,
jahan meDon par ghumte hue
rop sake
apni aatma men
hariyali ki jaDen
par machhaliyon ke pankh nahin hote
wo saans bhi nahin le pa raha
uski aatma chhatapta rahi hai
wo bhi talab ki machhaliyon ki tarah
markar upla jayega
aur vismrit ho jayega
astitvhin hokar
machhliyan pani ke bahar
palayan nahin kar sakti hain
andhere mein jujhti machhaliyon ka ant
nishchit hai
raten udaas aur thahri hui hain
vishann subah
suraj ugta hai
aadha Duba hua
havayen shok grast hain
baldev besra ki thaki hui ankhon mein
chhaya hai andhera
daityakar chimaniyon se nikalta
vishaila kala dhuan
jahar bankar ghus raha hai
nathunon mein
pattiyon par phaili hai
kali dhool
vriksh haanph rahe hain
wo bhar dena chahta hai
us bargad ke peD mein
apni sanse
jise lagaya tha
uske purkhon mein se kisi ek ne
par wo khud bedam hai
dhaan ke kheton mein
pasri hui hai
koyle ki chhai
dava hai charon taraf
bijli ki chamakdar raushani
phailane ka
lag raha hai bijli ghar
par uske jivan mein phail raha hai andhera
bargad ki jaDe taaq rahi hain
asman ko
panchhi uD chuke hain
kisi door desh ko
ne thaur ki talash mein
par talab ki machhliyan
nahin le pa rahi hain sanse
ve mar kar upla gai hai
pani ki satah par
wo bhi chahta hai
panchhiyon ki tarah chale jana
laal mati se kahin door
jahan wo le sake
chhati bhar kar saans,
jahan geet gate hue
uski aurten rop sake dhaan,
jahan meDon par ghumte hue
rop sake
apni aatma men
hariyali ki jaDen
par machhaliyon ke pankh nahin hote
wo saans bhi nahin le pa raha
uski aatma chhatapta rahi hai
wo bhi talab ki machhaliyon ki tarah
markar upla jayega
aur vismrit ho jayega
astitvhin hokar
machhliyan pani ke bahar
palayan nahin kar sakti hain
andhere mein jujhti machhaliyon ka ant
nishchit hai
स्रोत :
रचनाकार : नीरज नीर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.