कहते हैं कि अमेरिका में एक एकाक्ष कुबेर है।
वह साल भर गिनता रहता है अपनी ही कारें
और अपने शरीर पर उगे सुनहरे बाल; लेकिन उनमें से
अधिक कौन, यह उसे अभी तक ज्ञात नहीं हुआ।
कहते हैं कि फ़्रांस में एक शराब का व्यापारी है।
उसके साल भर में कमाए नफ़े को गिनने के लिए
फ़्रेंच सरकार को सात वर्ष लग जाते हैं, उसके अकेले के
इनकम टैक्स में से फ़्रेंच लश्कर एक महायुद्ध का ख़र्च निकालती है।
कहते हैं अफ़्रीका में कांगो नदी के प्रवाह के नीचे
ब्रिटिशों की बनाई एक बड़ी सुरंग है। उसमें पड़ी
हर खोपड़ी से एक वर्ष में एक बड़ा हीरा बनता है
तराशने के लिए ये सारे हीरे अमेरिका में भेजे जाते हैं।
कहते हैं कि रूस में एक बड़ा जेल है।
उस जेल के सींखचे नहीं हैं। ‘हमारे जेल को सींखचे लगाइए।’
उन बंदियों ने सरकार के पास यह दरख़्वास्त भी की है।
कहते हैं कि ये सारी दंतहीन दंतकथाएँ हैं।
kahte hain ki amerika mein ek ekaksh kuber hai
wo sal bhar ginta rahta hai apni hi karen
aur apne sharir par uge sunahre baal; lekin unmen se
adhik kaun, ye use abhi tak gyat nahin hua
kahte hain ki frans mein ek sharab ka wyapari hai
uske sal bhar mein kamaye nafe ko ginne ke liye
french sarkar ko sat warsh lag jate hain, uske akele ke
income tax mein se french lashkar ek mahayuddh ka kharch nikalti hai
kahte hain afrika mein kango nadi ke prawah ke niche
britishon ki banai ek baDi surang hai usmen paDi
har khopaDi se ek warsh mein ek baDa hira banta hai
tarashne ke liye ye sare hire amerika mein bheje jate hain
kahte hain ki roos mein ek baDa jel hai
us jel ke sinkhche nahin hain ‘hamare jel ko sinkhche lagaiye ’
un bandiyon ne sarkar ke pas ye darkhwast bhi ki hai
kahte hain ki ye sari danthin dantakthayen hain

स्रोत :
पुस्तक : यह जनता अमर है (पृष्ठ 100)
रचनाकार : विंदा करंदीकर
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.