न जाने कब
गरमा उठती है पुरवैया,
धूप की मख़मली उजास
न जाने कब
बदल जाती है
आग की पगडंडी में
उबलने लगती है नदी
पिघल कर बह उठते हैं किनारे
उत्तप्त हो लावा की तरह।
लहू की एक अग्निरेखा
प्रवेश कर जाती है
आत्मा की गहराइयों तक।
और तब जब
सारा उन्माद थम जाता है
बदल जाता है बदबूदार कीचड़ में।
नरमुंडों के ढेर पर बैठे हम
गिन रहे होते है लाशें
पीट रहे होते हैं छातियाँ।
पर मार-काट का सारा शोर
थम जाने के बाद भी
थर्रा रहे कान के पर्दों पर
हथेलियाँ रख लेने से
नहीं थमता
भीतर का कोलाहल,
मात्र संवेदना के आँसुओं से
नहीं मिटता अंतर्दाह।
तलवारों पर से
रक्त पोंछ लेने भर से
नहीं भर जाते
छाती के घाव।
na jane kab
garma uthti hai purwaiya,
dhoop ki makhmali ujas
na jane kab
badal jati hai
ag ki pagDanDi mein
ubalne lagti hai nadi
pighal kar bah uthte hain kinare
uttapt ho lawa ki tarah
lahu ki ek agnirekha
prawesh kar jati hai
atma ki gahraiyon tak
aur tab jab
sara unmad tham jata hai
badal jata hai badbudar kichaD mein
narmunDon ke Dher par baithe hum
gin rahe hote hai lashen
peet rahe hote hain chhatiyan
par mar kat ka sara shor
tham jane ke baad bhi
tharra rahe kan ke pardon par
hatheliyan rakh lene se
nahin thamta
bhitar ka kolahal,
matr sanwedna ke ansuon se
nahin mitta antardah
talwaron par se
rakt ponchh lene bhar se
nahin bhar jate
chhati ke ghaw
na jane kab
garma uthti hai purwaiya,
dhoop ki makhmali ujas
na jane kab
badal jati hai
ag ki pagDanDi mein
ubalne lagti hai nadi
pighal kar bah uthte hain kinare
uttapt ho lawa ki tarah
lahu ki ek agnirekha
prawesh kar jati hai
atma ki gahraiyon tak
aur tab jab
sara unmad tham jata hai
badal jata hai badbudar kichaD mein
narmunDon ke Dher par baithe hum
gin rahe hote hai lashen
peet rahe hote hain chhatiyan
par mar kat ka sara shor
tham jane ke baad bhi
tharra rahe kan ke pardon par
hatheliyan rakh lene se
nahin thamta
bhitar ka kolahal,
matr sanwedna ke ansuon se
nahin mitta antardah
talwaron par se
rakt ponchh lene bhar se
nahin bhar jate
chhati ke ghaw
स्रोत :
रचनाकार : श्रीविलास सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.