अब मैं वहाँ चली गई हूँ जहाँ से
ऊपर की सतह मुझे नहीं दीखती।
अब मैं वहाँ पहुँच गई हूँ जहाँ से
गर्दन के ऊपर का हिस्सा और
दो हथेलियाँ ही बाहर हैं।
अब मैं वहाँ हूँ जहाँ से
जितना बाहर निकलने की कोशिश करती हूँ
उतना ही अंदर चली जाती हूँ।
अब मैं वहाँ से आवाज़ दे रही हूँ जहाँ से
बंद आँख, बंद मुँह के अंदर के शब्द
केवल मैं ही देख-सुन पा रही हूँ।
अपनी पूरी शक्ति से चीख़ रही हूँ...
आवाज़ बाहर क्यों नहीं जा रही?
अब मैं वहाँ जा रही हूँ जहाँ से
शून्य और अँधेरा
मुझे अपनी ओर घसीटे लिए जा रहे हैं।
मैं कह रही हूँ—
‘मैं वहाँ जाना नहीं चाहती!’
लेकिन वे नहीं सुनते।
वे भी शायद अकेले और अंधे हैं।
‘शून्य’ और ‘अँधेरे’ ही तो हैं।
ab main wahan chali gai hoon jahan se
upar ki satah mujhe nahin dikhti
ab main wahan pahunch gai hoon jahan se
gardan ke upar ka hissa aur
do hatheliyan hi bahar hain
ab main wahan hoon jahan se
jitna bahar nikalne ki koshish karti hoon
utna hi andar chali jati hoon
ab main wahan se awaz de rahi hoon jahan se
band ankh, band munh ke andar ke shabd
kewal main hi dekh sun pa rahi hoon
apni puri shakti se cheekh rahi hoon
awaz bahar kyon nahin ja rahi?
ab main wahan ja rahi hoon jahan se
shunya aur andhera
mujhe apni or ghasite liye ja rahe hain
main kah rahi hoon—
‘main wahan jana nahin chahti!’
lekin we nahin sunte
we bhi shayad akele aur andhe hain
‘shunya’ aur ‘andhere’ hi to hain
ab main wahan chali gai hoon jahan se
upar ki satah mujhe nahin dikhti
ab main wahan pahunch gai hoon jahan se
gardan ke upar ka hissa aur
do hatheliyan hi bahar hain
ab main wahan hoon jahan se
jitna bahar nikalne ki koshish karti hoon
utna hi andar chali jati hoon
ab main wahan se awaz de rahi hoon jahan se
band ankh, band munh ke andar ke shabd
kewal main hi dekh sun pa rahi hoon
apni puri shakti se cheekh rahi hoon
awaz bahar kyon nahin ja rahi?
ab main wahan ja rahi hoon jahan se
shunya aur andhera
mujhe apni or ghasite liye ja rahe hain
main kah rahi hoon—
‘main wahan jana nahin chahti!’
lekin we nahin sunte
we bhi shayad akele aur andhe hain
‘shunya’ aur ‘andhere’ hi to hain
स्रोत :
पुस्तक : पूरा ग़लत पाठ (पृष्ठ 67)
रचनाकार : स्नेहमयी चौधरी
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.