यह घर मेरा है इसमें मुझे कोई संदेह नहीं है
लेकिन जिस बेख़ौफ़ से छिपकली दीवारों पर दौड़ती है
यह घर उसका भी है इसमें मुझे कोई संदेह नहीं है
लेकिन छिपकली जब बड़ी हो जाती है और अपने जबड़े खोलती है
या अपनी पूँछ घुमाती है लगता है वह मुझे अपनी पूँछ में जकड़ कर
मुझे निगल जाएगी
मेरे डर को देखकर उसे ख़ुशी मिलती होगी
मैं निश्चय के साथ कुछ नहीं कह सकता
क्योंकि एक डरे हुए मनुष्य को देख कर एक छिपकली
ख़ुश कैसे हो सकती है
जबकि दोनों को एक ही साथ एक ही घर में रहना है
यह भी तो कहा जा सकता है कि मेरी वजह से वह डरी हो
और मेरे बारे में सोच रही हो कि उसे डरा देख कर मैं ख़ुश हो रहा हूँ
हम दोनों या तो डरे हुए हैं या तो ख़ुश हैं
मेरे मन में कई बार ख़याल आया कि उसे मार भगाऊँ
फिर सोचा मेरा घर उसका देश है वह कहाँ जाएगी
एक जाना-पहचाना देश छोड़ वह कौन से अनजाने मुल्क में जाएगी
एक जगह से उजड़ा हुआ किसी दूसरी जगह बस कहाँ पाता है
आजीवन उजड़े हुए एहसास के साथ रहता है
करोड़ों-करोड़ पक्षी पशु कीड़े-मकोड़े और इंसान उजाड़ दिए जाने के बाद
कैसे काटते होंगे अपना समय
दर्दनाक है सोचना
छिपकली को प्यार से देखने की कोशिश मुझे करनी चाहिए।
ye ghar mera hai ismen mujhe koi sandeh nahin hai
lekin jis bekhauf se chhipkali diwaron par dauDti hai
ye ghar uska bhi hai ismen mujhe koi sandeh nahin hai
lekin chhipkali jab baDi ho jati hai aur apne jabDe kholti hai
ya apni poonchh ghumati hai lagta hai wo mujhe apni poonchh mein jakaD kar
mujhe nigal jayegi
mere Dar ko dekhkar use khushi milti hogi
main nishchay ke sath kuch nahin kah sakta
kyonki ek Dare hue manushya ko dekh kar ek chhipkali
khush kaise ho sakti hai
jabki donon ko ek hi sath ek hi ghar mein rahna hai
ye bhi to kaha ja sakta hai ki meri wajah se wo Dari ho
aur mere bare mein soch rahi ho ki use Dara dekh kar main khush ho raha hoon
hum donon ya to Dare hue hain ya to khush hain
mere man mein kai bar khayal aaya ki use mar bhagaun
phir socha mera ghar uska desh hai wo kahan jayegi
ek jana pahchana desh chhoD wo kaun se anjane mulk mein jayegi
ek jagah se ujDa hua kisi dusri jagah bus kahan pata hai
ajiwan ujDe hue ehsas ke sath rahta hai
karoDon karoD pakshi pashu kiDe makoDe aur insan ujaD diye jane ke baad
kaise katte honge apna samay
dardanak hai sochna
chhipkali ko pyar se dekhne ki koshish mujhe karni chahiye

स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश श्रीवास्तव
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.