कोहरे की एक सर्द सुबह
ठिठुरन में भी चेतना है क्योंकि...
यहाँ हल्की धूप
ताप आग और धुआँ है
आसमान में
बादल के इर्द-गिर्द
एक ही दिशा में...
चक्कर काटती एक चील है
क्योंकि
सब में बाक़ी है
उम्मीद की गुंजाइश
मुझे उम्मीद है
धुआँ छोड़ती
आग के जल जाने की
धूप के पूरी तरह
खिल जाने की
चील के थककर
मुंडेर पर बैठ जाने की
हालाँकि
पक्षी अपने फ़ैसले
ख़ुद लेते हैं इसलिए
मैं छोड़ देती हूँ
चील की तरफ़ देखना
क्योंकि मैं गरम
भाप छोड़ती चाय की
उम्मीद में हूँ...
मैं आग जलने की
उम्मीद में हूँ
आग जलने की उम्मीद
मेरी शिथिलता का
निदान है।
kohre ki ek sard subah
thithuran mein bhi chetna hai kyonki. . .
yahan halki dhoop
taap aag aur dhuan hai
asman mein
badal ke ird gird
ek hi disha mein. . .
chakkar katti ek cheel hai
kyonki
sab mein baqi hai
ummid ki gunjaish
mujhe ummid hai
dhuan chhoDti
aag ke jal jane ki
dhoop ke puri tarah
khil jane ki
cheel ke thakkar
munDer par baith jane ki
halanki
pakshi apne faisle
khud lete hain isliye
main chhoD deti hoon
cheel ki taraf dekhana
kyonki main garam
bhaap chhoDti chaay ki
ummid mein hoon. . .
main aag jalne ki
ummid mein hoon
aag jalne ki ummid
meri shithilta ka
nidan hai.
kohre ki ek sard subah
thithuran mein bhi chetna hai kyonki. . .
yahan halki dhoop
taap aag aur dhuan hai
asman mein
badal ke ird gird
ek hi disha mein. . .
chakkar katti ek cheel hai
kyonki
sab mein baqi hai
ummid ki gunjaish
mujhe ummid hai
dhuan chhoDti
aag ke jal jane ki
dhoop ke puri tarah
khil jane ki
cheel ke thakkar
munDer par baith jane ki
halanki
pakshi apne faisle
khud lete hain isliye
main chhoD deti hoon
cheel ki taraf dekhana
kyonki main garam
bhaap chhoDti chaay ki
ummid mein hoon. . .
main aag jalne ki
ummid mein hoon
aag jalne ki ummid
meri shithilta ka
nidan hai.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.