आकाश की सुनहरी फसल
पृथ्वी की मुस्कान
सागर का आवेग उत्साह
पूर्णिमा का चाँद
दूर क्षितिज में दिखाई देते हैं
गाँव की गलियों में डोलता है श्वान
झगड़-झगड़कर बिताता है दिन
मूढ़ अज्ञानी
जूठन या विष्ठा
है उसका भोजन।
जब आकाश में ऊँचे
चढ़ता है चाँद
बिखेरता है सपनों का जादू
अपनी शुभ्र सुधा धारा
चाँदनी से धुली धरा
हवा में फूलों की महक।
गाँव का श्वान
चाँद की ओर मुँह करके
भौं-भौं कर भौंकने लगता है
इस चाँद के बदन में पुती है
काली कलुष कालिख
पागल होते हैं लोग
क्योंकर इसके लिए?
क्यों बहती है हवा दिशाएँ महकाकर?
सुदूर आकाश में
चाँद मुस्काता है
भौंकता रहता है श्वान
थक-हारकर उर्द्धश्वास में।
akash ki sunahri phasal
prithwi ki muskan
sagar ka aaweg utsah
purnaima ka chand
door kshaitij mein dikhai dete hain
ganw ki galiyon mein Dolta hai shwan
jhagaD jhagaDkar bitata hai din
mooDh agyani
juthan ya wishtha
hai uska bhojan
jab akash mein unche
chaDhta hai chand
bikherta hai sapnon ka jadu
apni shubhr sudha dhara
chandni se dhuli dhara
hawa mein phulon ki mahak
ganw ka shwan
chand ki or munh karke
bhaun bhaun kar bhaunkne lagta hai
is chand ke badan mein puti hai
kali kalush kalikh
pagal hote hain log
kyonkar iske liye?
kyon bahti hai hawa dishayen mahkakar?
sudur akash mein
chand muskata hai
bhaunkta rahta hai shwan
thak harkar urddhashwas mein
akash ki sunahri phasal
prithwi ki muskan
sagar ka aaweg utsah
purnaima ka chand
door kshaitij mein dikhai dete hain
ganw ki galiyon mein Dolta hai shwan
jhagaD jhagaDkar bitata hai din
mooDh agyani
juthan ya wishtha
hai uska bhojan
jab akash mein unche
chaDhta hai chand
bikherta hai sapnon ka jadu
apni shubhr sudha dhara
chandni se dhuli dhara
hawa mein phulon ki mahak
ganw ka shwan
chand ki or munh karke
bhaun bhaun kar bhaunkne lagta hai
is chand ke badan mein puti hai
kali kalush kalikh
pagal hote hain log
kyonkar iske liye?
kyon bahti hai hawa dishayen mahkakar?
sudur akash mein
chand muskata hai
bhaunkta rahta hai shwan
thak harkar urddhashwas mein
स्रोत :
पुस्तक : सिंधु उपत्यका (पृष्ठ 14)
रचनाकार : जानकी बल्लभ पटनायक
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.